Kunal: Charan sparshswamiji,,swamiji,,aaj kal , jabse ..auratein .bahar jaa kar kamaane lagi hai ..iske chalte . divorce rates bohat badh gaye hai..swamiji ,divorce honepar bharat ka kanoon aisa hai ..ki hamesha maa ko custody milti hai..swamiji vedo ke anusaar ..santaan kis kul ki hoti hai pitrakul ya mataul? aur swamiji divrce hone par santaan kiskepasshone chahiye mata ke ya pitaah ke??
Swami Ram Swarup: My blessings to you. Aapne vedon kee baat bhi kahee hai to sabse badi samasya yeh hai ki aaj hamare desh aur videsh mein nari aur purush adhiktar dono ko hee ved ka gyan zero hai. Tub dono kee hee mann aur buddhi control kaise ho saktee hai aur dharma-kartavya karma kaise nibha sakte hain. Atah pratham to hamare desh mein hee ghar-ghar ved vidya ka gyan hona chahiye jo ki Sarkar ka sabse bada kartavya hai. Parantu aisa to pichchley sawa paanch hazaar varshon se hai hee nahin. Tub Mata Sita, Madalasa, jaisee lakhon vidushiyon ka abhaav hee rahega. Vedon mein nari ko bhi zaroorat padne par earning hand banane ka updesh diya hai parantu isse pehle pratyek nar-nari ko vidwanon se vedon ka gyan prapt karke apnee indriyon ko sanyam karne ka updesh kiya hai. Santaan mein to mata-pita dono ka hee aksa hota hai parantu weh santaan mata-pita ke pavitra sambandhon ke bane rehne se pita ke kul kee kehlatee hai lekin Upnishad mein ek aisee ghatna bhi ghateee hai ki Jabala naamak Vaishya ka putra Satyakaam jub Rishi ke ashram mein deeksha lene gaye aur Rishi ne uske pita ka naam poochha to Satyakaam ne uttar diya ki Hey Rishiwar, meri mata ne kaha hai ki weh Jabala naamak ek prasiddh vaishya hai aur usey nahi pata ki mera pita kaun hai. Tub weh Satyakaam Jabala ka beta bankar hee prasiddh hua. Divorce hone par santaan uske pas honee chahiye jo santaan kee achchhe tarah se paalan-poshann kar sake, jiske liye uske paas prachur matra mein dhan ho aur yeh bhi sochna hoga ki bachcha kis ke paas rehna chahta hai.
Joy: Swami Ji Pranam. Atama Aur Soul Ek Hay?
Swami Ram Swarup: My blessings to you. Atma shabda Parmatma ke liye bhi aur jeevatma arthat soul ke liye bhi prayog hota hai. Mantra mein yeh dekhna hota hai ki kahan Parmatma ke liye aur kahaan jeevatma (soul) ke liye prayog hota hai. Jaise yadi kahein ki atma karmanusar janam dharann karti hai to yeh jeevatma (soul) ke liye prayog hua aur jis mantra mein yeh kaha jaaye ki atma dwara sansar rachaa gaya hai, atma janam-marann se rahit hai, kann-kann mein viraajmann hai arthat sarvavyapak hai itiyadi, to yeh atma shabda Parmatma ke liye prayog hua hai.