Som Dutt: Charan ispars guruji…aapjo ek impty massage galti se chala gya uske liye sorry….. me aapse janna chahta hu ki me jindgi me akela(unmarrird) rhkr bholenath ki bhakti krna chahta hu lekin mera man baar baar ladkiyo ki taraf aakrshit ho jata hu aur baad me pachhtata hu aisa kyu hota h Iska kya upay h aur me apna bhaav(bhakti) permatma me kaise badha(increase) kr sakta hu.
Mujhe koi issi terkeep btaye jisse mera man baar baar maya ke chakkar me na aakr bhagwaan ke charno me laga rhe Me issa chahta to hu pr apne man pr kaboo nhi kr pata kya kru guruji meri bhakti ke beech yhi ek problem h…. Jo aap mujhe rasta dikhayenge me uska hi anusaran krunga….
Swami Ram Swarup: My blessings to you. Beta, vedon mein kewal ek nirakaar, sarvavyapak, sarvashaktimaan Parmeshwar kee Pooja ka hee updesh diya hai. Jis Parmeshwar ne hamein janam diya, srishti banaakar hamein rehne ke liye de dee aur ab srishti kee palna kar rahaa hai aur srishti ka sanghar kar ke phir rach deta hai, hamein usee ek Ishwar kee Pooja karnee chahiye. Phir bhi yadi aap Bholenaath kee Pooja karna chahte hain to aap karein aur mann kee kamzori aur mann par control tabhi hota hai jub hum Vedic Pooja karte hain jismein rozana Ishwar ke naam ka jaap, ved mantra se agnihotra/Yajyen aur Yogabhyas kisi vedon ke gyata acharya kee dekh rekh mein karte hain. Iske liye yadi chahein to aap bhi local vidwan acharya ko contact kar sakte hain visheshkar local Arya Samaj ke purohit se contact karein. Tab hee opposite sex kee taraf hriday jaana band hoga.
Main aaapko yeh bhi advice karoonga ki aap “Brahmacharya-ek dukh nivarak divya manni” (Rs. 100) namak pustak avashya padein jo aapko aapke postal address milne par yadi aap chahein to bhej deingey.
Upar kahi Pooja karne se vishaye-vikaar aur maya aadi se jeev ka mann door ho jaata hai parantu jahaan tak dhan ka prashan hai, weh to mehnut se avashya arjit karna chahiye. Dhan ke bina manushya kaise jeevit rahega?
Alok DJ: Pranam swami ji, Can we do hawan in the evening time, ( god is great that i am doing hawan in the morning time since last 5 years). Pranam.
Swami Ram Swarup: My blessings to you. Samved preaches that havan/Yajyen must be performed daily both times i.e., morning as well as evening. So, you should perform havan in evening also.
Pramod: Kya mannu se kekai ka kya relation tha / ( 2 ) kekai ka purv janm kya tha? (3) sumitra ka purv janm kya tha?
Swami Ram Swarup: There was no mannu. So, naturally had no contact with learned Kekai. Poorva janam kisi ke bhi koi nahin jaanta.