Prem: If suppose by knowingly we marry a person who got seva dosham what will happen…
Swami Ram Swarup: There is no seva dosh, mangal dosh, kaal sarp dosh, navgrah puja, pitra dosh etc., mentioned in Vedas, the eternal knowledge which emanates directly from Formless, Almighty God. So, learned never accept the same being against the Vedas and due to their non-existence in universe. So, please do not be afraid of seva dosh and faithfully discharge your duties towards family.
Deepti: Swamiji pranam, mje ek mahaguruji dwara gyat hua ki mere is janam me padhai me man na lgne ka karan pichle janam ka kramdosh or shaap hai.mai apse janana chati hu ki mje isse chutkara pane k liye kya karna hoga.aapki kis book me yh jawaab mje milega taki mai pashtap
krne ki vidhi jaan saku.aapki kripa ki ichuk
Swami Ram Swarup: My blessings to you.
Aisee koi baat nahin hai. aap apne mann ko control karke zabardasti padai shuru karein, aap kamyaab ho jaayeingee. Maine peechhe bhi aapko answer diya hai, aap usey dhyan se pado uspe chalo aur agey bado. Hamesha andhwishvaas aur thothe karma kandon se door raho, ved Ishwareeya vanni hai, us vanni mein Ishwar jo hamara sachcha pita hai, hamara palan poshan kar raha hai, usne apne bachchon yani hum sabko nihswarth gyan diya hai hum usey hee mane, tabhi hum sukhi raheingey. Aap meri books vedic pravachan sangrah part I worth Rs. 120/- (excluding postal charges), Brahamcharya Dukh Nivarak divya manni worth Rs. 100/-(excluding postal charges) bhi avashya padein. 40% rebate is given to students.
Anonymous: Pranam swamiji, my qstn to u is hinduo ki shadi me gotra kaise dekha jata
hai,aur shadi k baad bacche ka gotra maa ka hota hai ya baap ka??
Swami Ram Swarup: Hindu mein ya kisi bhi caste mein gotra traditional hota hai
arthat baap, dada, pardada pehle se hee chala aata hai. Shadi ke baad, bachchey ka gotra pita ka gotra hee maana jaata hai.