SS: Maharaj ji pranam. Me aap se ye puchena cheta hu.. Ke jaise aap ne bhut jagah pe ye smjhaya hai. Ke ved pe chlene se hr prb solovw ho skti hai. Jaise aap ne apene life ka example bhi diya hai. Ke aap ke age hawan se bdi hai. Aap ne batya bhi hai yogi ke paas bhut power hoti hai. Sirf wo shisti rachana nhi kr skta. Baaki god ne use sbe power de hoti hai. Maharaj ji to aap ne apenw liye yog bal ka use ku nhi kiya. Kud ko thik krene ke liye. Aaj india mai bhut sari prbs hai kya wo aap yog bal se thik nhi kr skte. Mtlab aise koi dukhi ho he na.. Aap to yogi hai hai.. Bt aaj india ka hr ek insaan itna dukhi hai. Agr use shanti aati hai to wo ved marg pe chl akta hai.. Mujhe qus puchne mw galti hui ho to sry..
Swami Ram Swarup: My blessings to you. Yog bal ke prayog kee avashyakta nahi hotee kyunki Ishwar hee kripa kar deta hai. yadi yogi doosron par yog bal se koi dukh ka nivarann karta hai to usmein do batein hain (1) ki woh kya ashirwad lene ka adhikari hai? (2) yadi wo adhikari nahi hai, ved marg ke against hai, indriyan vash mein nahi hai, guru se vedic shiksha lekar us par achrann nahi karta to aise kee koi yogi yadi help karta hai to us yogi ko ishwar dand deta hai. Samjhna yeh hai ki dukh apne swayam ke pichhle jaham ke kiye hue paap karmon ka phal hai jo Ishwar swayam deta hai. To yogi ko Ishwar ke khilaf jaane kee agya nahi hai. weh dukhi insaan swayam kisi ved ke vidwaan yogi ke ashray mein rehkar ved vidya grahann kare. Yadi dushton ke nash kee agya Parmeshwar na de to sajjanon ka rehna, jeena mushkil ho jaye.
Doosra yeh hai ki is yug mein ved viruddh itne marg chal pade hain ki koi vidwaan jee jaan laga kar bhi koshish kare tab bhi weh andhwishwaas aur agyan ka nash karke mushkil se ek-do ko ved marg par chala paata hai.