Shivanshu: Pranam guruji charansparsh.. ji guruji mere mann m niyog ko lekr sawal thaa maine vedo niyog k bare m padha tha lekn jyada kuch smajh nh aaya..to m niyog k bare m jan na chahta hu ki dharamik rup se ye kitna r kaise sahi h r aj k yug m kya kisi ko niyog krne se manana samajik tor p accptable hoga ya phr niyog ko lekr kisi ko samjhana ki ye sahi h tarkik rup se kya possible h? dhanyawad guru ji..
Swami Ram Swarup: My blessings to you. Pichhley yugon mein ghar-ghar mein vedon ke gyan ka Prakash tha. Pratyek balak/balika six to eight years kee aayu mein hee gurukul mein acharya ke adheen Brahmacharya vrat dharann karke Vedic shiksha grahann karte they jo ab prayaha nahin hai. Us samay sabkee indriyan sanyam mein aur manushya dharmacharan mein praveen they jo ab nahin hain. Isliye niyog kee shiksha pichhley yugon mein hee theek-2 samajh mein aatee thee parantu vartamaan kaal mein jahaan Vedic shiksha ka abhaav hai aur manushya bhautikwad kee chamak damak mein tatha kaam, krodh, lobh aadi vishayon mein Ishwar ko bhoole baitha hai, us Ishwar ko jiska varnnan vedon mein hai tub vedon mein varnnit Ishwar dwara diya niyog ka gyan sanyam, niyam evum dharmanusar kaun nibhayega arthat koi bhi nahin nibhayega. Aam manushya to isey vishaye-vikaar kee drishtee se dekhega isliye yeh niyog kee shiksha dena vartamaan kaal mein uchit nahin.

Ranuka: Pranam pithaji, This is Ranuka from USA.My Namaskars to all who is in Vedmandir. We all are doing well with Ishwar and your blessings. With your blessings our daughter and son marriages are settled. Thank you Pithaji with your blessings your daughter Ranuka.
Swami Ram Swarup: My heartiest blessings to you all, my daughter. We remember you always. It is a happy news to me and for all the members of ved mandir that marriage of your son and daughter has been settled.