Suvrat: Guruvar charansparsh. Pichle prashn ke prastutikaran me thodi si gadbadi ho gai thi, uske liye kshama chahtey hai. Parantu us vishay mey sandeh ka bhav nahi tha.

Guruji, ek balak hai jiske mata ki dehant ke baad uske pita ney dusra vivah kar liya tha aur veh apney santan par adhik dhyan nahi dete. Voh balak ab apney mausi ke Saath rehta hai aur uska age 7-8 varsh hai. Uski mausi chahti hai ki voh veidic parampara se gurukuliya shiksha prapt karey. Yeh baat hamarey gao ke ek bhaiyya ney bataya hai aur voh hamey gurukul ke baarey mey puch rahey hai. Hamney unhey kaha ki hum guruji se paramarsh leke bataenge. Guruji, kripaya margdarshan karein. Aapka shishya Suvrat.
Swami Ram Swarup: My blessings to you. Beta, yeh dukh-dayee ghatna hai lekin Ishwar kee leela bhi aparam paar hai, woh hamein yahaan apne pichchley janam ke karamon ko bhogne ke liye bhejta hai. Mera bachche ko ashirwad. Uskee masiji ka yeh nirnnaye bahut hee uttam hai ki weh bachcha Arya Samaj Gurukul mein Vedic shiksha ley. Iske liye aap ati sheegra “Delhi Arya Pratinidhi Sabha” 15- Hanuman Road, Nai Delhi-110001 ko patra likhein athwa telephone number-23360150, 23365959 par telephone karein athwa e-mail aryasabha@yahoo.com, se sampark karein. Unse poochchein ki aapke niwas sthan ke nazdeek kaunsa gurukul padega aur us ladke ke saare particulars unhein bhi dein.

Vijay Singh: Sir in Sanskrit written Alia what does it mean?
Swami Ram Swarup: There is a word “aali” in Sanskrit and its meaning is honest.