S: Swami ji pranam… aapki kripya se Raghav ki 10th pass ho gyi hain…. ab bas aap ka yahi aashirwad chahiye k vo aage bhi acche se padhe aur mehnat kare.. dhanyawad swami ji. aapki shishya.
Swami Ram Swarup: My blessings to you my daughter. Raghav bete ko mera ashirwad dena. Meri Ishwar se prarthna hai ki weh pad likh kar ke ek badaa aadmi bane. Mata-Pita, bazurgon kee aur bade bhai-behno kee seva kare.
Shishya: Pranam Guruji. Guruji mainne aap se hi deeksha le hai aur dhayan, havan, bhi karta hoon aur aapki magzine bhi padta hoon. Guruji mere mind main ek confusion aa gayi hai jis ke liye main yeah sawal pooch raha hoon.
Guruji ek student ke to bas itni hi zimmedari hai na ki wo apni padai and sehat par dhayan de. Mera maan pata nahi kyun muje baki sab jagahoon par le jata hai jaise ki ghar main kya chal raha hai ,kon kya kar raha hai, etc etc. To guruji student (aatma) ko to poori tarhan se apni duty par he dhayan dena chaiye na haan agar koi kaam hai jo as a child wo kar sakta hai — koi saman lana etc to wo kar sakta hai. Lekin agar parents koi professional/personal reasons ke karan thodi tension main hain to student ko thodi unke sath pareshaan ho kar aapne keemti samya kharab kar dena chaiye. He should focus on his duty na.
Kyunki insaan ko kabhi bhi apni duty se bhatkna nahi chaiye.
Swami Ram Swarup: My blessings to you. student ko padai, Brahmacharya, daily exercise aadi dwara sehat ka dhyan rakhna chahiye parantu saath hee saath student ko mata-pita, gurujanon kee seva ka bhi updesh hai isliye ghar ke jo bhi kaam mata-pita karne ko kahein weh kaam bhi Shraddha se karne chahiye. Parents yadi kisi prakar kee tension mein hain to student ko mata-pita ko dheeraj dene ke liye unse milkar achchee-2 baat karnee chahiye.