Mamta: Pranam Swamiji man me ek prashn hai ki kisi vyakti Ko vedBhavnagar Gyan hee nahi hai to uske dwara Kiya Pavitra karma bhi fal nahi dega. Aur unki Bhavnagar shudh rage to karma ka fal nahi milega.kripya samjha dejeye?
Swami Ram Swarup: Blessings beti. Beti, yeh Ishwar ka niyam hai ki ved ke gyan ko prapt kiye bina kisi ka mann/bhavna kabhi bhi shuddh nahi ho sakta. Isliye ved gyan prapt na kiye manushya dwara koi karma bhi pavitra nahi ho sakta.
Shivani: Thank you swamiji, aap guruo hone ke babjud bhi hamne yahi rispekt kiya tha aapse.
Swami Ram Swarup: Mera tumhein ashirwad beti. Ved mein mantra hai “Tat me manaha shiv sankalpam astu” arthat hey Parmeshwar! Weh mera mann kalyaankaari vicharon wala ho arthat shiv ka arth hai kalyankari aur srishti rachkar srishti ko ann, dhan, jal, vaayu, prithvi, surya aadi sab padarth dekar sab jeevon ka kalyan karne wala kewal ek nirakaar Parmeshwar hai jiski Pooja Yajyen, yogabhyaas aadi dwara vedaanusaar kee jaati hai. Atah Shiv ka arth ved mantron mein nirakar, srishti rachyita aur srishti ko paalne wala Parmeshwar hai.