Meera: Guruji, Charan sparsh. Mera prashna hai kee guruji (aapka) kaa rojaana smaran Karne se ek aam aadmi jo saadhak nahi hai (aur guruji se mile bhi nahi hai) ko guruji dwaara Shakti Evam Aashirvaad praapt ho saktaa hai? Dhanyavaad
Swami Ram Swarup: Mera tumhe hardik ashirwad beti. Yadi kisi guru ka varnnan koi kisi anya nar athwa nari ko kare to aisa hona sambhav hai kyunki aisee ghatna mere Jeevan mein ghati hai.
Harsh: Sadarcharan sparsh ,swamiji.Swamiji aapne apni geeta bhashya mei batya hai ki vedo mein body ko rath(chariot) ki tarah bola hai,jisme indriya ghodey hai ,budhi sarthi ,mann(mind) lagaam hai aur jeevatma rath par saawaar hai.Swamiji hum kai baar sunte ya dekhte hai ki kai baar hamare ander se ek aawaaz ,ek tarah ka aabhaas horaha hota hai jissey tarak se nahi batlaaya jaa sakta.Jissey english mein hum intitution kehte hai.Swamiji yeh intituion kya aatmaki awwz hoti hai.Swamiji aane bataya tha ki ishwar logoki helpkarte hai unko sahiraah dikhate hai,swamiji ishwar hum kai baar karya karne koprerit bhi karte hai.TOH swamiji agar ishwar ko manushya se koi baat kehni hai ya usse koiraah dikhani hai ya kisi karya kprati prarit karna hai toh woh kya woh baat /aagya/prerna/gyaan /aabhaas manushya ke buddhimein daaltey hai,ya mann mein, ya aatma ke ander prakat karte hai??
Swami Ram Swarup: My blessings to you. Andar se do aawazein nikaltee hain ek Jeevatma kee, doosree mann kee jo kaam, krodh, mad, lobh, Vishay vikaar aadi yukat aawaz hotee hai, weh mann kee hai aur jo satya, kalyannkari aawaz hotee hai, weh jeevatma kee hai. Parmeshwar weh sab gyan Yajyen mein athwa dhyan mein baithe sadhak ko indriyon ke dwara mann mein prernna deta hai aur weh mann se prernna buddhi mein jaati hai ityadi.