Anupam: गुरुजी सादर प्रणाम।गुरुजी आपके द्वारा भावार्थ की हुई गीता मैं पढ़ा कि महाभारत मैं व्यास मुनि ने स्पस्ट कहा है कि श्री कृष्णमहाराज अर्धरात्रि मैं उठकर योगाभ्यास व गुप्त मंत्र का जाप करते थे।गुरुजी क्या वेदो मैं ऐसे मंत्रो का वर्णन है जिसके गुप्त जाप से कोई सिद्धि प्राप्त की जा सके।
Swami Ram Swarup: Blessings. Vedon mein aise koi gupt mantra nahi hai, bet.
Parantu harek Rishi-muni, yogi kewal adhikari ko vidya daan karta hai, anadhikari ko nahi. Isee ko aap gupt mantra keh sakte hain ki adhikari ko to mantra diya, gyan diya, doosron ko nahi diya,unse chhipa liya. Waise bhi Yajurved ka vaakya hai
“Paroksh Priya Hee Devaha” arthat vedon mein vidwaan har baat ko chhupa kar kehna hee pasand karte hain.
PP: Maharaj ji pranam. maharaj ji diksha ka kya arth or mahatw hai. maharaj ji diksha ka prabhaw kya samajik arthik or pariwarik kis prakar padta hai.kya pariwar ka 1 sadasya diksha lene ke baad pariwar ke anya sadasyon ko bhi ved ki rah main chalne ke liye prerit kar sakta hai.maharaj ji kitabon mai diksha ke kai arth mile parantu aapse ispast arth maloom karna chata hu .kripya margdarshan karain.pranam.
Swami Ram Swarup: My blessings to you. Deeksha ka sambandh adhyatmikwad se hai. Iska aadhar brahamcharya dharann par hai. Jo vedanusar brahmacharya dharann nahi kar sakta weh deeksha prapt karne ka adhikari nahi hota. Deeksha se dakshinna arthat dhan badta hai. Dhan badne par shraddha utpann hotee hai.Shraddha se satya kee arthat Parmeshwar kee prapti hotee hai. Yeh deeksha ka arth hai. Deeksha Charon vedon ke gyata aur ashtang yog vidya ke gyata ek vidwaan Acharya se prapt hotee hai. Yahi deeksha ka mahatva hai ki deeksha prapt karke manushya ko doosra janam parpt hota hai arthat pehla janam mata-pita se aur doosra janam Acharya se deeksha prapt karke adhyatmik janam parpt hota hai. Acharya se deeksha prapt karke hee vedic marg par chala jaata hai jisse samajik, aarthik aur parivarik prabhav aadi sab mein padta hai. Han! ek sadasya deeksha lekar anya parivaar ke sadasyon ko prerit kar sakta hai. Deeksha ka yeh arth, mahatva Yajurved ke anusar hai.