Bhumika Wakode: Swamiji . what is the meaning of this mantra: Atharva veda 18/2/37 and Atharva veda 18/2/56 as I’m not getting this mantra meaning. Please explain.
Swami Ram Swarup: (etat) yeh (awsanam) vishram moksh ka sukh (asmai) us purush ko (dadami) deta hun, (yeh ashah) jo yeh (aa agan) is sansar mein janam lekar aaya hai aur (mam it) mera hi arthat meri hi sharan mein (iyah) yahan sansar mein (abhut) hua hai arthat janam lekar is sansar mein aaya hai (mam) mera (Aishah) yeh purush (raye) dhan ke liye (iha) is sansar mein (uptishthan) yahan prashram kare aur sewa kare (Chikitwan) gyanwan (yamah) nyayakari Parmatma (etat) yeh (prati) pratyaksh (aaha) kahta hai.
Arth – yeh vishram moksh ka sukh us purush ko deta hun, jo yeh is sansar mein janam lekar aaya hai aur mera hi arthat meri hi sharan mein yahan sansar mein hua hai arthat janam lekar is sansar mein aaya hai, mera yeh purush dhan ke liye is sansar mein yahan prishram kare aur sewa kare gyanwan nyayakari Parmatma yeh pratyaksh kahta hai.
Bhawarth – nyaykari Parmeshwar is mantra mein pratyaksh yeh updesh karte hain ki jeev is sansar mein manushya ka sarvottam shareer pakar vidya, dhan aur sukh prapt karne ke liye, Parmeshwar aur vidwan ki sewa karte huye, manushya ka lakshya, jo moksh prapti hai, usey prapt kare. Sada Parmeshwar ki vedon mein kahi agya ka palan kare aur vedanusar Parmeshwar ke ashray mein rahe.
Atharvaveda 18/2/56 –
Hey nar-nariyon (imau) in (bahni) le chalne wale donon [pran aur apan] ko (asunitay) buddhi se le jaye gaye (te) tujhe (vodhve) le chalne ke liye (yunjmi) main [Parmeshwar] yukt karta hun (tabhyam) un donon arthat pran aur apan ke dwara (yamasya) niyam ke (sadnam) prapti yogya pad ko (cha) aur (samitihi) samitiyon arthat sabhayan ko (awa gachhtaat) nishchay se tu prapt ho.
Arth – Hey nar-nariyon in le chalne wale donon [pran aur apan] ko buddhi se le jaye gaye tujhe le chalne ke liye main [Parmeshwar] yukt karta hun, un donon arthat pran aur apan ke dwara niyam ke prapti yogya pad ko aur samitiyon arthat sabhayan ko nishchay se tu prapt ho.
Bhawarth – Parmatma agya deta hai ki hey manushya! Maine pran, apan aadi buddhi sahit tujhe isliye diye hain ki tu niyam ke sath uttam pad prapt karke sabhayon mein pratishtha paye.
[ Mahrishi Dayanand krit Sanskar vidhi antyeshti prakaran se aabhar sahit]