KK: Maharaj ji pranam mera ek qua hai aap se. Mai ek ldki hu hmere wha ldkiyo ke janeu nhi krwaya jata hai. Bt maharaj ji mai daoly hawan kreti hu. Vedic marg me chl rhi hu. Bs aap se ek aageya cheti hu maharaj kya mai kisi arye samaj ke mandir me jaake wha apena janeu krwa skti hu. Kyuki ye to ved le aagye hoti hai agr mere parents iseke against hai to kya chupchaap jake krwa lu. Kyuki kisiko kya pta chlega agr maine btaya he no kisi ko to. Agr maine na krwaya maharaj ji fayada kya mere hawan krene ka plz maharaj ji meri prb ka solution kr do.
Swami Ram Swarup: My heartiest blessings to you, my daughter. Han! Beti, aap nazdeek ke Arya Samj mandir mein jaakar Upnayan sanskar karva lo aur usee Upnayan Sanskar mein janeyu dharaan kiya jaata hai. Ismein koi chori nahi hai kyunki Mata-Pita aur Samaj ke apne niyam banaye gaye hain aur yadi veh ved-virudh hain to unka bahishkaar kiya jaa sakta hai kyunki dharam kee vyakhya hai ki vedanusaar karma karna dharma hai aur ved-virudh karma karna paap hai. Is vishaye mein aap Bhagwad Geeta shloka 3/15 avashya padein jismein kaha gaya hai ki Karmon ka uday vedon se hua hai, atah jo –jo karma vedon mein kahe wahee karne yogya hain aur ved sarvavyapak, Satvashaktimaan Parmatma se utpann gyan hai.
Parantu afsos yeh hai ki Geeta padne par bhi aise anek shlokon kee gehrayeeyan log nahi jaante aur na uspar chalte. Bhagwan jaane ki yeh Bhagwad geeta jaise pavitra granth ka kaisa Adhyayan karte hain.
Anonymous: Swami jee charan sparsh karta hun? Swami jee diwali ki tarek kaise tay hoti hai? Aur valmiki ramayan ke anusar diwali kounse din maanai chaiye? dhanyvaad
Swami Ram Swarup: My blessings to you. Diwali hum hinduon ka banaya hua custom hai. Sri Ram Lanka jeetkar jub ayodhya pahunche to kehte hain us din unke aane kee khushi mein Diwali manayee gayee thee.