Himanshu: Namaste guruji Maine apke baare me YouTube ke madhyam se jana hai mera ek prashn hai ki ved ishwariye Vani hai, yehi baat thik hai. hame ek prashn puchna hai ki isme basic science hai jaise pritvi gol hai Surya ke chaaro taraf chakkar lagati hai, ye bahut basic science hai jaise hamara bhraman bahut bada hai isme aur bhi Vishal grah aur sitare hai, to isme sirf pritvi ka hi Gyan kyu Diya hai aur dusra prashn isi se related hai ki ved me basic science hi kyu hai? Aaj ke samay adhik Adhunik science hai jaise string theory, quarks photon adi, iska varnan vedo me bhi nahi aisa kyu? Aur ved sirf manushya matr ko itna speciality kyu deta hai? Bas yehi prashn hai hamara, aapke uttar ki pratiksha hai dhanyawad Acharya ji 🙏
Swami Ram Swarup: Himanshu beta mera aapko aur aapke pariwar ko bahut aashirwad. Ved manushya ko isliye speciality dete hain kyunki kewal manushya hi ved vidya ko grahan karne yogya hai arthat pratyek nar-nari ko Ishwar ne vedon mein ved vidya grahan karne ka adhikar diya hai, anay pashu pakshi aaddi ko nahi.
Ishwar ne vedon mein kewal Prithvi ka hi gyan nahi diya hai Parmeshwar ne to tinke se lagakar Brahm tak ka gyan diya hai, jaise medical science, agriculture science, surya, chandra, nakshtra, bhautik science, etc. Dusra basic gyan hi kyun diya hai kyunki manushya ki buddhi is prakar ki di hai ki weh jab basic principle jan jaate hain to apni buddhi se aur avishkar karne mein Samarth hote hain agar basic gyan nahi diya jaye to weh aur is gyan ko badha nahi payenge arthat is se badhkar kisi matter par naya avishkar karne mein samarth nahi honge.