Deep: Apka bohot dhanyawad guruji. Iska MATLAB guruji k ye bolna sahi hoga thoughts ka actual sense agar mana jai to use hum energy hi bolenge, positive or negative energy Jo ki ek person se kisi aur person ko transfer hoti hai. Zaruri nahi hai k humare Mann me jinke prati prem ho , unke Mann me v humare prati wohi exactly same vab ho, kyunk har person ka apna apna sanskar, vichar, thoughts hote hi hai. Ye to Bas ek energy hai Jo transfer hoti , isliye shayad kavi kavi aisa hota hai jis insan ne humara kuch nahi bigara ya jise hum jante v nahi thik se use hum pasand nahi kar pate hai, aur kavi kavi koi insan ko hum chaha k v dislike nahi kar pate, kyuki Hume kisi kisi se positive aur negative energy catch karte hai. Ye transfer of energy hai, jise hum in general thoughts bolte hai in the sense.har insan ka apna soch,vichar, sanskar hote hai, jisse WO kisi k prati suchinta ya kuchinta utpanna karta hai , ye bolna bilkul hi galat nahi hoga k hum kisike bare me koi v agar feelings rakhte ho chahe WO love ho, hatred ho, ya kisi v tarah k feeling ho, WO humare apne sanskar aur created thoughts ka reflection hai nake WO particular person ka humare prati kiya hua thoughts ka asar. Han ye bola ja sakta hai k humare Mann me unke prati ek positive ya negative vibes ka sanchar hota hai, lekin humari soch completely humari hoti hai, hum agar kisise nafrat kare to WO hamari soch hai, zaruri nahi k WO v humse same feeling rakhta to, shayad WO humare liye bilkul hi opposite bichar ya soch rakhte ho, magar humare thought k wajah se hum thik se is bat ko samajh nahi pate aur unke prati v galat bichar pal lete hai aur sochte hai k ye feeling to unka hai Jo humare pass transfer hui hai, rather sach ye hai k WO negative thoughts humare khud ki creation hai, jise Hume khud badal na parega, apne aap ko badal k. Hume kise se v Bas positive ya negative vibes mil sakti hai, magar humare Mann me unke prati kya feeling rahega ye humare sanskar , soch hai, jise Hume hi thik karna parega. Guruji ka Maine sahi samjha hai? Kripaya bataye k Maine apka reply padke Jo interpret kiya hai WO sahi toh hai na? Agar isme koi galti hai to kripaya mujhe bata dijiye. Aur guruji ek aur baat Maine apke website pe question & answers k section ko follow kar raha tha, usme ek answer me Dekha k hawan ka smoke space me mojut atma o tak jata hai, to kya atmai use grahan karti hai? Ye kya hai? Agar is vishay me v ap thoda sa hi sahi magar roshni dale to bohot upkar ho mujhpar apka.
Aur guruji Maine apse marriage customs k related v ek prashna kiya tha apne article k liye, agar aap kripaya kar us prashna ka v samadhan kar de toh bohot kripa ho jai apki. Dhanyawad, aur aapko mera koti koti naman.
Swami Ram Swarup: Dhanywad Beta. Poorva janam ke sanskaron aur is janam kee panchon gyanindriyon dwara dekhe, sune, sparsh kiye, soonghe aur chakhne se jo achcha-bura gyan prapt hota hai, usee gyan ke adhar par achche ya burey vichaar mann mein utpann hote hain. Isliye vicharon ko energy nahin kaha ja sakta. Yadi hamare mann mein kisi ke prati prem hai aur agar jiske prati prem hai uske mann mein hamare prati prem nahin hai to yeh bhi to donon ke mann mein utpann prem aur nafrat pichchley janamaon ke karmon ke sanskaron aur is janam ke kiye karmon par hee to adharit hai. Nafrat karne wala yadi kisi achchee sangat mein aata jaata rahega aur achchey vichaar sunega to uske mann se nafrat door ho jayegee anyatha nahin hogee. Isliye sabko prem baantne ke liye mann ko burey vicharon se shunya karne ke liye Vedic satsang sunna, rozana ved mantron se havan karna, naam jaapna aur yogabhyas karna, sath hee sath grihasth ashram ke shubh karma karne ati avashyak hain.
Atah kewal soch-vichaar koi achcha phal nahin deinge.
Manushya ko ukta sadhna karna bhi param avashyak hai. Har insaan ke apne vichaar, sanskaar, thought hotey hain, veh achchey bhi ho sakte hain aur burey bhi ho sakte hain. Isliye kewal achchey hee sanskar rahein, iske liye nitya Vedic sadhna karna avashyak hai.
Iske liye kisi vedon ke gyata, vidwan ka ashraye chahiye. Jis insan ne hamara kuch nahin bigada aur hum usey pasand nahin karte to napasand karne ka koi to karann hoga aur weh karann hai ki us insaan ne is janam mein hamara kuch nahin bigada hoga aur doosra karan yeh bhi ho sakta hai ki hamare hee sanskar gande hain ki hum doosron se nafrat karte hain. Isliye is nafrat ko hatane ke liye Vedic sadhna avashyak hai.
Yadi hum kisi se nafrat karengey to telepathy niyam ke anusaar yeh nafrat us insaan ke hriday mein apne aap pahunch jayegee aur woh bhi badle mein humse nafrat karne lag jayega.
Isliye sabse prem karo aur badle mein kuchh na mango. Isliye khud ko badlo. Hum apne mein buraiyaan dekhein aur in buraiyon ko mann se bahar nikalein lekin bina Vedic sadhna ke burai niklegee nahin. Vichaar par vichaar chalet raheingey.
Han! Space mein atmayein Yajyen/agnihotra mein daali aahutiyon ka prashaad grehan kartee hain arthat khati nahin hain. Un aahutiyon ke prabhaav se space mein jo pranni rehte hain, unhein laabh hota hai.
My blessings to you.