Anupam: गुरुजी सादर प्रणाम।गुरुजी प्राणायाम किस प्रकार करना चाहिए।गुरुजी आपसे ज्ञात हुआ कि मुक्त जीवात्मायें इकच्छानुसार शरीर धारण कर सकती है जब उन्हें किसी को सहायता पहचानी होती है तो क्या इस वे ईश्वर के आदेश पर करती है व क्या वह मनुष्य रूप मे ही आती है।
Swami Ram Swarup: Blessings beti. Sampoporna Ashtang Yog Vidya guru parampara se aame-saamne baithkar hee prapt kee jaatee hai. To beta, Prannayaam to ek bahut badi vidya hai, usey personally seekhna kabhi. Mukta Aatmaon ka arth hai mukta arthat Ishwar ne unhe har apne kanoon aadi se mukta kiya hai isliye veh apnee ichcha se karya kartee hai, kisi bhi shareer aadi ko dharann kar saktee hai.
Harsh: Sadar charansparsh swamiji.Swamiji kya aranyak bhi ved mein aatey hai??swamiji kya aranyak bhi edoke saath prakat kiya gaya tha ishwar dwaara rihiyo kehriday mein??
Swami Ram Swarup: My blessings to you, beta. Ishwar se kewal ved hee utpann hote hain, Shakhayein, aaranyak aadi manushyon ke banaye hue hain.