Rajan: Swami ji aapne mere sabhi swaalon ka jawab diya uske liye dhanyavaad……ab plz inka jwab dijiye…
1) Ashtang yog kya he…..aur aap kehte ho ki ye yog hume kisi learned yogi se sikhna hoga….lekin mere pas itna time nhi he ki me ise sikhne jaun aur na hi me aise kisi insaan ko janta hun jo muje sikhaye ….so plz aap hi hlp kro kisi trah…
2) Apka rply aaya tha…. ( Iske saath-saath asan, prannayam aur dhyan ka bhi roz abhyas karein, yeh aur bhi laabhdayak hoga. Main koshish karoonga ki aapko yeh vidya VCD ya telephone par bataun.
Aap nasha nahin kartey or na maas khate, aapke in vedic vicharon kee main prashansha karta hoon aur Ishwar bhi yahi chahta hai. Egg bhi aapko chhod dena chahiye. Aapko jo book chahiye, uska naam aur apna pataa (address) likh kar bhej dein. Aapko books free bhej deingey….)
Lekin me phir bi aapse yhi request karuga ki pdf bi upload karvaye taki jab hum bhar ho tab bi time milne par apne mobile se padh sake…..par apne books k bare me bola he jo me nhi bta skta…..par me itna khuga ki meri age 20+ he aur apko meri age k according sikhne k liye jo book shi lagti he aap bhej de….me use apka aashirvaad samaj k rakhuga
Swami Ram Swarup: You are welcome, please.
(1) Ashtang yog ke vishaya mein main apna ek article paste kar raha hoon.
Ashtang Yog
In yog shastra sutra 2/29 the eight fold path have been described which is called ashtang yoga. The paths are yam, niyam, asan, pranayaam, pratyahaar, dharnna, dhyan and samadhi. The yoga philosophy is always learnt from an acharya in person please. It is easy and not difficult for those who desire to learn the same.
In this connection, I would advise you to read the books written by me.
(1) Yoga – A divine Vedas’ philosophy worth Rs. 65/- excluding postal charges.
(2) Patanjal Yog Darshan Part I and II worth Rs. 131/- and Rs. 300/- excluding postal charges.
The books can be sent to you on receipt of your postal address, if you desire.
Lekin yeh clear kar lein ki bina Yogacharya se miley Yogvidya seekhee nahin ja sakti, yeh vedon ka niyam hai. Sorry, ismein koi excuse nahin hai.
2. Aapko main advise karta hoon ki aap aapko diye hue numbar per contact karein aur unke ghar jaakar neechee likhee pustakein ley aayein.
1. BRAHAMCHARYA DUKH NIVARAK DIVYA MANNI 100.00
2. VEDIC PRAVACHAN SANGRAH(Reprinted) 120.00
3. YOGA A DIVINE VEDAS PHILOSOPHY 65.00
Arjun: Great answer swamiji for the last one so you say cremation is mentioned only but can you do burial as well if no then please tell me why cremation is better?
Swami Ram Swarup: To burn the dead body on pyre is advised by God in Vedas, Yajurved mantra 40/15 refers. This pious action avoids spreading of harmful bacteria in air and does not occupy space. So, we’ve to obey God’s preach in Vedas.
Manish: To iswar ki karib kesa jaya jaye?
Swami Ram Swarup: Sabhi vedon mein kaha hai ki Ishwar nein manushya ko vedon dwara hee gyan diya hai aur vedon mein hee Ishwar nein apne swaroop aur poja karne kee vidhi samjhayee hai. Doosree yeh samjhayee hai ki vedon ko samajhne ke liye kisi vedon ke viodwan se deeksha leikar vedon mein kahi vidya ko vidwanon se jaano.
Isliye Ishwar ko jaanne ke liye vidwanon ke paas jaakar ved-vidya sunkar aur uspar chalna zaroori hai. Yeh atal Ishwareeya niyam hai.