Abhishek: Dear Swami jI, main aap se puchna chahta hoon ke mere mata-peeta ne mujhe kaha hai ke har shanivaar shyam ko ek nariyal peepal ke ped ke niche phodna hai, unko ye baat ek pandit ji ne batyee hai per mai aisa kerne se pehle aap se puchna chata hoon ke ye upaye kis liye hota hai? aap ke utar ke partiksha rahege. bahut-bahut dahnyawaad.
Swami Ram Swarup: My blessings to you. Ved, Shastron nein aisa kuch nahin kahaa ki kisi bhi kaamna ko poornna karne athwa aur kisi baat ko poorna karne ke liye, peepal ke neeche nariyal phodein. Yeh custom insaan nein khud banayein hain.
Manish: Namaste Pandit Ji,Rig Veda 10-85-45, Rig Veda 10-10-10 Kya is mantra me Niyog ke liye kaha gaya hai. Arya samj ki website par iske bare me likha hai ki niyog karne ki ijajat hai Wahi mene bahut jagaho par padha hai ki Niyog karna mana hai
Swami Ram Swarup: My blessings to you. Jahaan pooree tarah vedon ka gyan Ashtang Yog sadhna se indriya vash mein ho, Grihasth athwa Brahmacharya ashram mein hundred percent Brahmacharya par control ho, waheen yeh niyog applicable hota hai anyatha yeh to paap hee paap hai. aaj hum niyog ki baat karte hain par yeh nahin samajhte ki niyog ki shiksha ved mein hai. Isliye niyog lagoo karne se pehle jaisa upar kaha vaisa Ved, Yog vidya or Brahmacharya ka gyan hona avashyak hai.
Kaushal: Hinsa khatm karne ke liye hinsa jaroori hai
Swami Ram Swarup: Yeh niyam har k matter par lagoo nahi hota.
Sameem: I am having stomach ache and my sister is getting headache. What should we do?
Swami Ram Swarup: You both are advised to seek medical opinion, please.