Anonymous: Swami jee pranam? mera sawal hai ki Manusmirti 9/81 mein kyu likha hai ki barren uur jo wife sir daughters ko nanan de use chod dia jaye? nari apni marji se barren thodi hoti hai? aur sirf daughter ko janam de to kya galat baat hai?
Swami Ram Swarup: My blessings to you. Manusmriti aur Mahabharat jaise anek granthon mein jhoothe shloka jod diye gaye hain. Shloka mein apriya bolne walee, ladne- jhagadne walee stree ko chhodne ko kaha hai. Shloka mein naari ko chhodne kee baat nahi kahee hai. Shloka ka bhaav apnee patnee ko chhodne ka nahi hai apitu apnee patnee ko chhodkar arthat ussey santaan prapt na karke doosree stree se niyog dwara santan prapt karein. Ved apriya vachan bolne walee, ladne- jhagadne walee ek raat bina agya ghar se bahar rehne walee, aise avagunn walee naari ko tyagane kee agya deta hai. Aisa hee yadi purush bhee avagunn wala ho to naari uska tyag kar de. Kintu aaj ved vidya ke abhaav mein adhiktar paap ka hee aachrann ho raha hai.
Jatin: Acharya ji,saadar pranam ji beej mantra kya hote hai kya inka ullekh vedon mein hai.
Swami Ram Swarup: My blessings to you. Sabse pehle utpann hai weh beej kehlata hai.Jaise sansar kee rachna ka beej prakriti hai. Prakriti se srishti bantee hai. Jaise jab sansar bana tab srishti mein bhogon ke liye kaam bhav utpann hota hai. Jo maanav kee baaj shakti ke roop mein prakat hota hai itiyadi.