Ritesh: Pranaam Guruji, Vedon mein mrityu hone par jald se jald sharir ko bhasm karne ka aadesh hai. Toh Kya organs donate kar sakte hain? Kya medical research k liye full body donate karna galat hai?
Swami Ram Swarup: My blessings to you, my son. Organ donate karne mein punnya hee hai kyunki sab organs otherwise nasht hee hone hotey hain. Isliye donation achchee hai. kyunki vedon mein dead body ko sheeghra bhasm karne kee aagya hai isliye full body donate karna to theek nahi isliye mujhe nahi pata ki full body ka woh kya use karke, kab bhasm kaarengey ya nahi karengey.