Anonymous: Pranam guruji, Aap ka health kaise hai guruji. Guruji eshwar is shrshti ki kachna kaise ki..phele eshwar shrishti mei hai ya shrishti eshwar mei…tho brahma koun the…manushy me ahankar, aadhi kaise uthpan huay… Thank you guruji
Swami Ram Swarup: My blessings to you. Main theek hoon beti aur aap sabko Ashirwad. Ishwar avinashi hai, weh janam-mrityu ko prapt nahi hota isliye jab srishti parlay mein nasht ho jaati hai us samay jo yeh sab kuchh dikh raha hai weh kuchh bhi nahi rehta parantu ek jeeta jagta tatva rehta hai usey hee Parmeshawr kehte hain. Prakriti se Parmeshwar fir srishti kee rachna karta hai. Yeh lamba Vishay hai jaldi nahi samjhaya ja sakta fir bhi aap apna address likh kar bhejna mein apni ek CD aur pustak bhejunga jismein srishti rachna ka varnnan hai. Us sey aapko samajh mein aa jayega. Atah pehle Ishwar hota hai uske baad mein srishti kee rachna hotee hai. Prakriti mein ahankaraadi avagunn hote hain. Prakriti se bana hamara shareer hai, mann-buddhi hai isliye in sab mein bhi ahankar aadi avagunn hote hain jo hum par asar dalte hain. Yeh Vishay bhi kaafee lamba hai jaldee samajh mein nahi aata,Guru ke paas pahunchkar hee samjha ja sakta hai.
Harsh: Sadar charan sparsh swamji.swamji apne bataya tha ki patni ko pati ki aagya palan karni chahiye aur swamji aapne bola tha kipati patni k liye pujya hai.swamiji jaise mata,pita aur guru pujya hote hai iska pramaan hume upanishad mein milta hai jisme matu devo bhav,pitru devo bhav aur achrya devo bhav milta hai ,swamji kya ved ,brahmana granth ,aranyak aur upanishad mein kahin par pati ko devta batya gaya hai??
Swami Ram Swarup: My blessings to you. Pati ko patni kee aur patni ko pati kee achchhee agya palan karne aur prempoorvak grihasth ke kartavy paalan karne ka vidhan hai. Devta ka ek arth yeh bhee hai ki jo hamein kuchh deta hai weh devta hai atah pati ghar ka swami hone ke karan dhan kamakar patni ko lakar deta hai jisse ghar ka kharcha chalta hai. Isliye pati devta hai. Doosra arth devta ka yeh hai ki jab manushya charon vedon ka gyata ho jaata hai tab usey dev aur nari ko devi kaha jaata hai.