Anupam: Guruji pranam.guruji ved vari patrika me ek article diya hai pativrata nari ke dharma.usme me ki veh pati ko khilaker khaye.so jane per soye aadi aadi.guruji kya mahabharat kal me istriyo v purusho ke darje me anter tha.aajkal adhikansh mahilaye job ker rahi hai.ese me pati patni dono ko hi baher jana hota hai.to is tarah ke dharm to sabhi nahi nibha sakti.inme se kuch to us samay vishes ke anuroop rahe honge.guruji jab kabhi akele hawan karna ho to aahutia dono tarah ki kaise dale.guruji me vedvani prakashan ki kuch pustake khareedana chahti hoo .mene kafi pehle order bheja tha.ve mujhe kab tak prapt ho payengi.guruji aajkal charo vedo ka aushthan chal raha hai.aap vyakha sahit bahut acche se samjhate hai.guruji kya is samay vaha aane per aap se disha nirdeshan le pana dambhav hoga.aajkal aap bahut vyast hai na.
Swami Ram Swarup: My blessings to you. beti, Vedic niyam atal hote hain. Han! Ab manushya apnee suvidha anusar jo kuchh karna chahein karein. Parantu nitya ke hawan aur Yajyen mein shamil hona na chhodein. Nahi, Mahabharat kaal tak Vedic sanskriti ka prabhaav tha isliye wahan Vedic niyamon ko dharann karke apne-apne kartavyon ka paalan kiya jaata tha. Dono tarah kee arthat ek baar ghee kee daalo aur doosree baar samagri kee daalo. Han! aap apne pati ke sath aa saktee hain.