Anupam: Thank you! गुरुजी सादर प्रणाम।गुरुजीकन्या को दान की वस्तु क्यो समझ जाता है जबकि जीवात्मा का तो कोई जेंडर नही होता।
Swami Ram Swarup: Ashirwad beti. Jo bhee vastu kisi ko hamesha ke liye de dee jaati hai, weh daan mein hee sammilit hotee hai. Mata-pita dwara vivah ke samay kanya bhee kanya ke pati ko hamesha ke liye de dee jaatee hai. Yeh aatmik prem ka sambandh hota hai. Vedon mein spasht kaha hai kee yadi koi bee arthat pati ho ya patni jab apne kartavya se – dharma se vichlit ho jaata hai to ved ke niyam ke anusar separation bhee sambhav ho jaata hai.
Anonymous: Pranam Swamiji Aap ka health kaisa hai guruji. Mei ne vedmandir mazagine ka subscription kar diya. Thank you guruji
Swami Ram Swarup: Main theek hoon. Aap sabko ashirwad.