Faizan: रिग वेद में किस नदी को सर्वाधिक महत्व दिया गया है?
Swami Ram Swarup: Rigved mantra 10/109/1 mein Ishwar ne updesh diya hai ki Srishti ke aarambh mein jub amaithunee srishti gyan rahit hotee hai to Parmeshwar chaar Rishiyon ke hriday mein chaaro vedon ka gyan utpann karta hai jis par chalkar manushya agyaan aur paap se bach sakte hain. Matlub yeh hai ki Vedon mein kewal gyan hai aur weh gyan duniya mein rache harek padarth ka hai. Vedon mein koi ghatna, itihas, katha-kahani aadi nahi hai. kewal gyan hai isliye vedon mein proper noun istemaal nahi kiya gaya hai.
Common tareeke se yaani nadiyon ka gyan dene ke vishaye mein Ishwar ne kewal itna hee kaha hai ki jo nadi pahadon se nikal kar behtee huee seedhi samundra se jaa miltee hai, usey Ganga kehte hain aur aisee nadi ke beech mein koi pahadon se niklee huee nadi kisi sthan par mil jaatee hai to us milne walee nadi ka naam Yamuna kaha gaya hai aur jis sthan par weh miltee hai aur dono nadiyan ek nadi banker behti hai, usko Saraswati kaha hai.
Bus itna hee gyan nadiyon ka diya hai. Ab aisey halaat mein chahe duniya ke kisi bhi desh mein nadiyan behtee hain to unka naam ved ke anusaar Ganga, Yamuna, Saraswati hai. Ab Chahe koi is satya ko mane ya na mane. Han! Vedon mein nadi aadi kee Pooja-paath ke baare mein nahi kaha hai. Pooja to sairf ek nirakaar, Sarvavyapak, Duniya ko rachne aur paalan-poshan karne wale Parmshwar kee karne ka updesh diya hai, anya kee nahi.