Vishal Kumar: Pranav ka Sandhi Vichhed Qya hoga uar Pranav ka sabdic arth qya hai?
Swami Ram Swarup: Prannav= Om, Ishwar ka naam
Prannavaha= Pra+Nu+Ap, Annatvam.
Pankaj: Namastay guruji, guru ji keh the hai ki Hindu dharam main pati aur patni ka rishta 7 janmo ka hora hai. lekin jab koi shaadi shuda purush ya auraat Marti hain I.e death ho jati hai air us purush ya stri KO jab Varanasi ki ghat par aagni de jati hai tab hamari Hindu dharam ki manyata nusar USS purush ya stri KO mokesh prapt hora hai . mujhe yeh samajh nahi aata ki jab mokesh prapt hora hai tab woh purush ya stri 7 jaman ek saath kaise reh sakte hai?
Swami Ram Swarup: Namasteji. Pichchley karmon ke hisaab se yeh janam sukh-dukh bhogney ke liye milta hai. Ab is janam mein jo achchey-burey karma kiye jayengey woh pichchley sanchit karmon se jud jayengey aur un sanchit karmon se phir Ishwar kee vyavastha mein prarabdh banega, jo mrityu ke pashchat manushya athwa pashu-pakshi kee yoni mein janam lene ka karann banega. Atah saat janamon ka saath ho, aisee koi baat vedon mein nahin kahi. Han! Jisnein apna prarabdh swayum banana hai, uske liye Ishwar ne vidwanon ka sang karke ved marg par chalne kee agya dee hai.
Nahin, aisa koi vedon mein vidhaan nahin hai ki Varanasi ke ghat par daah sanskaar karke moksh prapt hota hai. Moksh to kewal ved marg par chalkar, kathor yogabhyaas, Yajyen, naam simran aadi shubh karmon ko karne ke pashchaat hee dharmamegh Samadhi prapt karke prapt hota hai. Aisa Charon ved kehte hain, anya koi kya kahta hai yeh uski apni marzi hai.