Anupam: Guruji pranam nirakar Ishwar ko halwa yani khadhya padartha ki aahuti kyo dee jati hai.kya tyoharo ko manane ka tareeka kisi bhookhe ko bhojanan karana ya us din kisi jarooratmand ki sahayata karna bhi ho sakta hai.ya tyohar per poori kheer sabji ka thal sajakar holi mata ya diwali poojan karna sahi hai?
Swami Ram Swarup: My blessings to you, my daughter.
Ishwar ann nahin khaata, weh ann daan karta hai aur jo havan mein agni hai, samidha hai, woh Ishwar nahin hai. Ishwar ne agni mein ghee aadi kee aahutiyan daalne kee agya dee hai. Agni ka gunn hai ki usmein jo bhi padarth daalogey to us padarth ke chchote-2 kann banaakar (i.e., atom se bhi chchote) weh saare brahmand mein phaila deta hai jisse samay mein varsha etc., anek labh prapt hotey hain aur yeh Ishwar kee Sarvashreshth Pooja bhi hai. Isliye agni mein ghee aadi kee aahutiyan daalee jaati hain. Tyohaar manushyon ke banaye hue hain. Zarooratmand kee madad to tyohaar ke bina kabhi bhi kee ja sakti hai.
R: Swami ji charan sprash, swamiji, mere brother in law ki abhi haal main hi raod accident main death ho gayi thi. He was such a good person I have not seen in my life. But unki death se I am shocked. kya karan ho sakta hai itni dardnaak maut ka. Bada dukh hai mujhe aur mere parivaar ko.
Swami Ram Swarup: My blessings to you. Sorry to listen about the sudden and early death of your brother-in-law. Beta, her sukh aur her dukh ka karann ek hee hai jo Rigved mantra 10/135/1,2 mein kaha hai ki hum sab yahaan pichchley janam ke achchey-burey karmon ko kramshaha sukh-dukh ke roop mein bhogne aaye hain. Har sukh hamare hee pichchley janam mein kiye huye shubh karmon ka phal hai aur isee prakaar her dukh bhi hamare pichchley kiye huye karmon ka phal hai. Isliye hum Ishwar ke is kanoon ko samajhkar kisko dosh dein. Han! Yeh avashya hai ki is janam mein bhi hum achchey-burey karma kar rahe hain, jinko kriyamaan karma kehte hain. Ismein yadi hum kisi kee hatya karte hain, chori-dacaitee aadi karte hain, naari ya kanya ke saath dushkarma karte hain to inka dukhdayee phal hamein alag se agle janamon mein milta hai.Isliye Ishwar ne kaha ki vidwanon ka sang paakar Ishwar kee bhakti bhi hum karein jisse bhavishya mein aaney wale dukhon ka hum abhi se hee naash kar dein. Yog Shastra sutra 2/9 mein mrityu ko fifth klesh kaha hai arthat dukhdayee kaha hai. Issey bachney ke liye hee Ishwar ne ved marg prashast kiya hai. Is dukh kee ghadi mein main apke aur apke parivaar ke saath hoon aur Ishwar se prarthna karta hoon ki aapke brother-in-law kee atma ko shanti prapt ho.