Praveen: Main apka sabse lokpriya shishy banna chahta hun. Uske liye main kya karun?
Swami Ram Swarup: Aapke vicharon kee main prashnsa karta hoon. Shishya banane ke liye aapko yahaan mere paas ved mandir mein aana zarooori hai. Iske liye aap mere shishye par sampark karke mandir ka poora pata etc., pooch lein. Mera phir se tumhein ashirwad.
Ashirbad: Pujya guruji, I want to know something about me. What is my vansha and varna?
Swami Ram Swarup: My blessings to you. You may contact any local pandit to know about your vansh and varnna.
S: Shashtang Dandwat Pranam Guru Maharaj ji. Apse diksha prapt karne ke bad rojana subhaha aur sham Hawan kar raha hun. Aur tab se main Swasth aur Tanab mukta mahasus kar raha hun. Maharaj ji main lagbhag 45 din se ek time sham ko hawan karne ke baad lagbhag 9pm ko teen Asan Padmasan(10-15min), Siddhasan(10-15min) and pashmiuttasan (2min) kar raha hun. Padmasan karte wakt anlome vilome pranayam kartu hun aur siddhasan karte wakt sans ko kheech kar rokna aur phir dheere dheere chhodna wala pranaym kartua aur saath saath ishwar naam japta hun jaisa apne bataya hai.Aur bhojan karne ke baad 15-20min bajra asan me vaithata hun. Maharaj ji main jana chahta hun ki Kya main yeh Asan sahi kar raha hun. Padmasan ko main ulata karta hun jaise first right foot over left and then left foot over right foot.Isee prakar main Siddhasan left foot over right foot. kyonki main isee tarha se jyada time tak asan par vaitha pata hun. Aur main Subhaha bhi suru karana chahata hun lekin abhi jaldi nahi uthapata hun. Prayas kar raha hun. Kirpaya Maharaj ji Sahi tarika batayen aur main naye asan kon se karun. Pranam Guru Maharaj ji.
Swami Ram Swarup: My blessings to you, my son. Is baat kee mujhe khushi hai ki aap vedic shiksha prapt karke dono samay havan karte hain jo ki Ishwar kee pooja hai. Aapka sadaa kalyan hoga. Havan se Ishwar prasann hotey hain aur sadhak ashirwad prapt karta hai. Saath mein jo aap asan-prannayam aur naam jaap kar rahe hain, yeh soney mein suhagaa hai. Sab kuchh aapka asan etc., theek chal raha hai.Subah uthney ka prayas avashya karein kyunki pratyek pranni ko prataha surya kee kiran nikalne se pehle avashya uth jaana chahiye. Mera tumhein sadaa ashirwad. Anya asan seekhne ke liye aap ek baar phir mere paas aayein.