Chetan: Guruji namaste. Maine osho ki video mei dekha tha ki vo kehte hain ki vyakti hmesa pratishta pane ke liye aur dusro ke samne image banane ke liye ki meri dusro ke samne kya chavi hai ya izzat hai iske liye hamesa chintit rehta hai aur yahi ahankar hai . aur humein isse dur rehna chaiye door rehna chaiye aur image aur pratishta ko tyagna chaiye . kya yeh sach h guruji . aur ek question guru ji muje ye btaiye agr koi vyakti bura kaam karta hai aur log kehte hai ki ek baar image aur izzat chli gyi to dobara nahi milti . to guruji muje ye btaie ki agr kisi se kuch galat ho jaye to usse sudhar to skta hai. Ya vo chintit rahe ki meri image chli gyi . kya usse image ki bajai sudhar karna vicharna chaiye ya tension mei rahe ki uski chavi nasht ho gyi . to humein sudhar krna jruri h ya image ki traf dhyan . aur pratishta jaruri hai ya nahi humare liye.
Swami Ram Swarup: Namasteji. Yes, image banane ke liye chintit rehna, swayam apne aap mein ek desire aur ahankar hai lekin yadi koi ved marg par chalta hai, shubh karma karta hai, indriyon ko sanyam mein karta hai, madhur bhashi hai, propkari hai to aise bahut se gunn hain jo sadhak mein swayam aa jaate hain aur uska yash aur kirti phailtee chalee jaatee hai. Is prakar yash kirti paana, ahankar-abhimaan nahin hai kyunki Yajurved mein yeh kaha hai ki pratyek manushya (nar-naari) ko ved marg par chalkar apnee yash-kirtee ko badaana chahiye, prapt karna chahiye, yeh gunn sixteen kalaayon mein varnnit kiye gaye hain.
Jaisa upar kaha image-pratishtha kee ichcha sadhak ko nahin hotee, weh to swayum hee prapt ho jaatee hai isey tyage bina apnee chchavi banaye duniya se chala jaata hai aur Jeevan vyarth ho jaata hai. Aaj hum apne Rishi-Muniyon, Rajrishiyon jaise Dashrath, Janak, Harishchandra aur mahaan naariyan jaise Sita, Madalsa, Janak kee acharya Gargi aadi tatha yodha jaise Arjun, Bheeshma aadi ko unkee yash-kirti ke karann hee yaad karte hain aur baar-baar naman karte hain.
Nahin aisee koi baat nahin hai arthat yadi koi nar-naari jaane-anjaane mein paap karma karta hai to uske liye vedon ne prayashchit karne ko kaha hai ki weh ved marg par chalta hua sadhna karta hua prayashchit karey arthat yeh vrat (pratigya) ley ki mrityu prayant weh dobara koi paap nahin karega.
Issey shuddh marg par chalkar us vyakti kee image, izzat aur yash-kirti swayum hee badtee jaatee hai lekin yadi weh dobara paap karta hai aur sadhna aadi bhi karta rehta hai to pratham Ishwwar to yeh chalaaki janta hee hai parantu samaj mein bhi iska pata chal jaata hai aur image badal jaatee hai.
Jaisa upar kaha ki pratyek vyakti apna sudhar ved marg par chalkar karey. Vidwanon ka sang karke ved ka gyan prapt karey jisse indriyaan sanyum mein aatee hain.
Raavi: Sat sat pranam gruji. agr kisi ke parents vadic tarike se aware nhi hai or vo alag method ko follow kerte hain. Or vo bhi ye chahte hai ki unko follow kiya jaye.To kya unki khushi ke liye aisa kerna galat hai or agr hai to phir jo log practicaly daily agnihotr ker rhe hain or unka swabhav mei bilkul bhi prem nhi hai or yhaan tk ke regular ashram bhi jaate hai. mata, pita or kisi ghr pr aaye mehmaan ke liye bhi koi adar nhi hai. Or jo log daily agnihotr nhi bhi kr rhe vo km se km prem ke sath rh rhe hai ghr mei mata,pita or baki ghr aaye kisi mehman ke sath bhi.Mein yhaan ye request kerna chahta hun ke jo pichle 25- 30 saal se regular ashram ja rhe hai or agnihotr kr rhe hai or daily Mata,Pita or ghr ke bjurgon ka apmaan kr rhe hain, to kyun unme tinka bhr bhi bdlav nhi hai.Jabki vedas said ke sabse meetha bolein Mata ,pita bjurgon ka adar krein. Or agar vo ye sab nhi bhi krte tb bhi unki bhavna ki respect karein.Ye sab dekhkrmujhe bhut dukh hota hai. Mei phle bhi iss tarah kayi baar aapse prashn kr chuka hun, iss baar dono hath jodkar viniti kr rha hoon aap ji se ke jo answer dekhin to aapke btaye marg ka khyal rkhein or baaki logon ke liye prernna banei.
Swami Ram Swarup: My blessings to you, my son. Kisi kee bhi khushi ke liye ved marg tyaag kar doosrey marg par chalna paap kaha hai. Isliye yeh amulya janam ka sadupyog bade hee gahan vichaar karke karna chahiye anyatha yeh amulya manav shareer dobara nahin milta. Rozana agnihotra karte hain, ashram bhi jaate hain, etc., ke vishaye mein jawab de diya hai, phir bhi unka vyavahaar theek nahin rehta is vihaye mein maine kai baar internet par uttar detail se samjhaya hai aur pravachan mein bhi detail se samjhaya hai ki kewal vidya sunee nahin jaatee sunkar aur samajhkar acharann mein layee jaatee hai. Jo acharann mein nahin laate, unko ved hee keh deta hai ki unhein koi laabh nahin hota aur Vyas Muniji bhi kehte hain aise manshya ko koi laabh nahin hota. Han! Unhein agnihotra ya Yajyen mein aahuti daalne ka punnya zaroor milta hai par vyavahaar theek na karne ka unhein paap bhi bhogna padta hai.
Jo agnihotra nahin kar rahe aur unhein agnihotra na karne ka phal bhogna padta hai, yeh Ishwar kee aagya hai, chahe prem se saath-2 rahein chahe lad jhgad ke saath rahein. Yeh sampoorna brahmanad Ishwar ka hai jismein hum sab bhi sammilit hain isliye yahaan vedon mein kahee Ishwar kee aagya chaltee hai, kisi anya kee nahin aur kisi ke bhi achchey-burey karmon aadi par sanshaye kewal isliye uthta hai kyunki jo log achchey-burey karma kar rahe hain aur jo anya unpar sanshaye utha rahe, dono hee ved vidya ko nahin jaante aur na Ishwar ke banaye vedon mein samjhayee karma philosophy ko jaante hain, isliye problem hai. Phir yeh bhi satya hai ki adhiktar pranni poornna jigyasu bankar guru se gyan leney baar-baar nahin aatey. Bahut samay ke interval karke aatey hain tab tak unhein jo pichchla gyan diya gaya hai, uska woh chintan-manan nahin karte, acharann mein nahin laate aur bhool jaate hain. Shiksha regular aur is zamane mein jaldi-jaldi prapt karne ka prayatna karna chahiye.