Vicky: HINDU DHRAM ME KISI MANUSYA KA APNA PARIJAN JAISE KE APNA BHAI, MAA, BAHAN YA PHIR PITA KI MIRTYU HO JATI HO LOG US PARTHIV SARIR KO ACHHUT MANTE HAI. JAB KI WO HI MANUSYA JINDA RAHTA HAI TO USSI KE SAATH KHANA HAI, SONA HAI YA PHIR HAR EK KAAM MIL JUL KAR KARNA HAI. MUJHE SAMAJ ME NAHI AATA KI JAB KOI MANUSYA JINDA HAI TO MERE PAPPA HAI MERA DADA HAI. JAB KI INKI MIRTU HO JATI HAI. TO INKA PARTHIV SARIR KO ACHHUT MANA JATA HAI. PLEASE MAI AAP SE NIWEDAN KARTA HU KI AAP MUJHE ISKE BAARE ME BISTAR SE BATAYE. JISSE MAI JAANKAR MERE MAN KO SANTI PAUCHE.
Swami Ram Swarup: Han! Beta is parthiv shareer kee value tabhi tak hai jub tak ismein hum arthat chetan jeevatma rahtee hain. Shareer alag hai chetan jeevatma alag hai. Chetan jeevatma ka shareer se nikal jaana hee mrityu kehlata hai aur chetan jeevatma hee shareer se nikal jaane ke phauran baad shareer mein gandee badbu aani aur bimari ke kitanu paida honey lagte hain. Isliye Yajurved mantra 40/15 mein kaha “Bhasmantang shareeram” arthat mrityu ke pahuran baad shareer ko chita par rakhkar bhasma kar do jisse gandee badbu aur kitannu hawa mein phail kar doosre pranniyonko nuksaan na pahunchayein. Isliye baap, maa, bhai-behan aadi shareer nahin hain, shareer mein rehne walee chetan jeevatma hain. Yahee Vedic gyan Sri Krishna Maharaj ne Arjun ko diya tha ki jeevatma kisi shastra se kaatee nahin jaatee, agni se jalayee nahin jaatee, paani se geelee nahin kee jaatee, hava se sukhai nahin jaatee aadi. Yeh to ajar, amar,avinashi hai. Isliye kisi ka baap, maa, bhai, marte nahin hain apitu weh is shareer se nikal kar karmanusaar doosre shareer ko dharann kar lete hain arthat unka doosra janam ho jaata hai, isliye ved kehte hain ki shubh karma ved marg par chalkar Acharya se ved ka gyan seekh kar kewal shubh karma karein, paap karma na karein. Kyunki paap karne se agle janam mein jeevatma kutta, billi, keet-patang aadi yoniyon mein janam letee hai aur sadaa dukhi rehtee hai. Shareer jad hai, jeevatma chetan hai aur kabhi nahin martee. Shareer marta hai, nasht ho jaata hai. Hum sub jeevatma hain, shareer nahin hain. Is gyan ko vedon se samajhne kee koshish karo. I also suggest you to read my book- vedon se mrityu rehasya jaano (in hindi) worth Rs.140/-, excluding postal charges. It can be sent on receipt of your postal address, if you desire.
Rahim: What is my gotra?
Swami Ram Swarup: Sorry, I do not know.