Pranaam: Namaskaar Aachaarya! Kuchh prashno ke uttar chaahiye the. Kripayaa shankaa samaadhaan kare.
1>> Hamaare Dharmagrantha arthaat Puran / Shaashtra / Ramayan / Mahaabhaarat paashchaatya aakramankartaao ke haath bali chadh gaye. Toh kyaa Upanishad bhi prakshipta ho gaye? Kaun se Upanishad vaastavik rup mein hone ke kaaran svikaare jaaye?
2>> Prakshipta hokar bhi Vigyaan nahi bigar paayaa. Example – Valmiki Ramayana 6.28 mein likhit numbers 10^62 tak jaate hai. Gita (jo Mahabharata) mein hai – us Gyaan se khud mahaan Vaigyaanik prabhaavit hai. Rudraksha ko electromagnetic healer ke rup mein paayaa gayaa aur Brahmastra ek nuclear weapon hai. Toh in shloko mein aisaa kyaa rah gayaa ki inhe koi badal nahi paayaa?v
3>> Rig Veda 10:136:7 kaa artha samjhaaye. Kyaa usme samudramanthan ke Visha kaa ullekh hai?
4>> Vedic maths kyaa hai? Kyaa yaha Atharva Veda mein hai (jaisaa ki Shankaracharya Bharti Krishna Teertha ne kahaa thaa) athavaa yeh unki apni rachnaa maanee jaaye?
5>> Ahankaar aur aatmavishwaas mein kyaa bhed hai?
Kripayaa inkaa samaadhaan kare. Dhanyavaad.
Swami Ram Swarup: 1.Shayad maine apka uttar pahle de diya hai. Aap check karein anyatha prashan dobara bhej dein.

v
2. Jo jo vigyan vedon mein kaha gaya hai aaj sansaar mein vaisa hee sab kuchh ho raha hai, jaise Yajurveda adyaaya 3 mein kaha hai ki prithivee surya ke charon aor ghoom rahee hai vaise ka vaisa hee vaigyanik aaj kah rahein hain prantu jo-jo aaj ka vigyan apni buddhi ke anusar kah raha hai usmein aur vedon mein kahe gaye vigyan ke us vishya mein antar aa jata hai jaise vedon mein prithivee kee aayu lagbhag 1 arab 96 crore 8 lakh 53 hajaar 112 saal hai prantu vigyan is vishya mein kabhee kuchh kahate hain, kabhee kuchh kahate hain.

Geeta gyan se vaigyanik prabhavit huye hain, iska mujhe pata nahin. Aur phir Geeta granth mein diya gyan to vedon se hee liya gayan hai.

Ismein koi shak nahin ki brahmastra ek ati suksham hathiyar tha aur ek hee brahmastra sare vishwa ka naash bhee kar sakta tha aur aisa brahmastra aaj tak nahin bana kyonki isee brahmastra ko suksham banakar chhoda jata tha to kewal ek hee vadh karta tha, poore brahmand ka nahin. Prantu is brahmastra ka varnnann bhee vedon mein hee hai. Adhiktar shastra badalnewalon ne Bhagwan kee bhakti ko badla hai, kisee anya vishya ko nahin.

3. Samunder Manthan ka vishya Purannon mein hai, Vedon mein nahin.

4. Vedic Maths charon Vedon mein hai aur is prashn ka uttar bhee main shayad pahale de chukka hoon, aap check karein.

5. Is prashn ka uttar bhee pahale de diya gaya hai. Ahankar prakriti se utpann gunn hai. Vedic sadhna, yajyen, yogabhyas ke baad jo jeev, Braham aur prakriti ke vishyon mein jankaari hoti hai weh atamvishwas hai.

A: Pranamam jiii…… I have a doubt now my astrological time is addityya desha. How long it will be remaining? My mind is not good now and there are frequent problems. My husband has lost his job and not satisfied with the new one. Please advice us jiii. Expecting your valuable reply.
Swami Ram Swarup: Astrological time said by you as Addityya desha is not a vedic matter, therefore, it is not mentioned in Vedas. So learned of Vedas do not accept it.

I would only advice you to get the blessings of God to do daily Havan even from Gayatri Mantra both times.

Your Husband lost his job but luckily he has got next also. He is the head of the family, and should therefore work hard to earn the money & I hope that he knows his responsibilities.

I mean to say that in this matter we should not think about satisfaction or dissatisfaction but should think only about earnings. However he should try his level best to get another job better. But he should only leave the first job when he gets next one first. Being a wife of a earning hand you should also bravely discharge your duties of your house. Every right decisions & good deeds is obtained from mind. If mind is not good then family of life is disturbed. Please be brave & control your mind yourself. However, good teachings purify intellect so I would like to advice you to study some vedic culture which is available here, it will give you immense knowledge. The list of books is appended below. Your selected books can be sent on receipt of your postal address, if you desire.

List of books is appended below, please —–
S. No. NAMES OF BOOK COST PAGES

1. PATANJAL YOG DARSHAN PT I 131.00 332
2. PATANJAL YOG DARSHAN PT II 300.00 295
3. VEDIC PRAVACHAN SANGRAH(Reprinted) 120.00 118
4. VEDIC SATSANG SANGRAH PT II 12.00 29
5. MANAV DHARAM SHIKSHA 21.00 88
6. ATMIK UDGAR 51.00 42
7. DIL SE DIL KI BAAT 21.00 20
8 YAJ KARAM SARVSHRESHTH ISHWAR POOJA 65.00 132
9. BRAHAMCHARYA DUKH NIVARAK
DIVYA MANNI 100.00 173
10. MRITYU EK KATU SATYA 20.00 63
11. BHAJAN KIRTAN 40.00 64
12. SHRIMADBHAGWAD GEETA
EK VEDIC RAHSYA (CHAP. 1-6) 400.00 739
13. SHRIMADBHAGWAD GEETA
EK VEDIC REHASYA (CHAP. 7-12) 400.00 594
14. SANDHYA MANTRA 25.00 33
15. VEDIC PRAVACHAN SANGRAH PT II 120.00 124
16. SHRIMADBHAGWAD GEETA
EK VEDIC RAHSYA (Chap. 13-15) 250.00 246
(IN HINDI 1-16)

17. VEDANTA & ETERNAL VEDAS’
PHILOSOPHY PT I 31.00 77
18. VEDANTA AND ETERNAL VEDAS’
PHILOSOPHY PT II 20.00 92
19. YOGA A DIVINE VEDAS PHILOSOPHY 65.00 123
20. VEDAS A DIVINE LIGHT Pt. I 80.00 190
21. PROTECT THE HOLY COW, SAY VEDAS 40.00 58
22. VEDAS A DIVINE LIGHT PT. II 121.00 279
23. VEDAS A DIVINE LIGHT PT. III 100.00 126
24. VEDAS A DIVINE LIGHT PT. IV 100.00 154
25. VEDAS A DIVINE LIGHT PT. V 140.00 104
(IN ENGLISH 17-25)
26. VEDA – DIVYA GNANA (TRANSLATED IN KANNADA)
(Originally in English as VEDAS A DIVINE LIGHT PT. I ) 120 202

LIST OF CASSETTES & CDs Sung by Swamijee
1. SANT VANNI CASSETTES (PT 1-8) 35.00 EACH
2. BHAJ GOVINDAM CASSETTE 35.00
3. VCDS VEDOIN KEE CHHAWON TALE PT1&2 50.00 EACH
4. ISHWAR KEE AWAZ SUNO (ACD) 36.00
5. SAB MEIN VYAPAK JYOTI EK (ACD) 36.00
6. SANT VANNI PT. 1-4 (ACD) 35.00 EACH
7. VALMIKI RAMAYAN (ACD) 36.00
8. ISHWAR BIN SUKH NAHIN (ACD) 36.00
9.SARVAVYAPAK ISHWAR MAHIMA SUNO(ACD) 36.00
10. SAB GOBIND HAI (ACD) 45.00
11. AMRIT VANNI VED 36.00

Pankaj: Swamiji namaste & charn saparsh. meri job nahi lag pa rahi h na hi shadi ka yog ban raha h jaha mei chahta hu.meri job kafi high or achi hoti h but ek saal hote hote choot jati h or ekdam khali ho jata hu fir job milne mei kai mahine fir lag jate h asa bar bar ho jata ha mere sath jis karn mujhe kafi tension rehti h or sabse paiso ki help leni per jati h jo mei bilkul nahi kisi se lena chahta hu iska kuch upay bataye or apna kam kab se start ker paunga or kis chiz ka acha rahega.2ND Question h- jis ladki se shadi kerna chahta hu wo hogi ki nahi? meri us ladki ke kafi gehre sambandh bi h last 7 saalo se jis kern tension mei hu.jab meri job thi to sab thik tha but ab uski family ko mei acha nahi lagta jabki meine unhe hotel band hone per lakho paiso ki help ker rakhi h meine nisawarth bhawna se sab kiya or ye bat meine family or dosto ko kisi ko nahi batai aajtak but ab wo mujhe leke asa bartav ker rahe h jis kern mn kafi dukhi rehta h or koi kam kerne ka dil bi nahi ker pata H thik se.or jis kern dimag hartime sochta rehta h kab tak in sab se bahar aa paunga or koi upay bi batye. Apki mail ka mei intzar ker raha hu or dhanywad
Swami Ram Swarup: Mera tumeh aashirwad.

Jab tak grihasth ashram mein earning hand nahin hote tab tak shadi ke bare mein sochna dharma virudh hai. yaa to aapke paas ancestral property ho tab aap shahdi kee sochien anyatha pahale earning hand ban-ne ka prayas karein.

Job ka chhutna kisee na kisee karann se hota hai, agar woh karann aap khud hain to bhee yeh ek buraee hai jise aap door karein. Doosra khud kee marjee se shadi karna vedon ke khilaaf hai. haan, aisee marriage mein yah dhyan dena hota hai ki opposite sex ko kabhee shadi se pahale dil na diya jaye.

Jaisa upar kaha ki insan ko pahale earning hand hona chahiye to aap Job dhoondo. Aur Job na chhoote aisa kaam karo.Maan- apmaan thoda bahut sahna padta hai.Rukavatein aayen to unko door karne ke liye Ishwar ka aashirwad prapt karna jaroori hai. Isliye aapkee naukree na chhoote, aap rozana Gayatri mantra ka jaap arth sahit karein aur sath hee Ishwar ke naam OM ka jaap dono samay karein. Rozana Gayatri mantra kee kam se kam 21 aahutiyan dalein. Aisa karne se aap kee kamnayein pooree hongee aur bhavishya bhee sundar banega, sath hee sabhee badhayon ka dheere-dheere naas ho jayega.

Shadi ka vichar bilkul chhod do jab tak ki aap earning hand na ho jao. Aapke liye itna hee experience kaafi hona chahiye ki duniya upar se kuchh hotee hai, andar se kuchh hotee hai. Isliye aap khoob paisa kamayein. Aapka farz hai ki aap us ladkee ka tyaag kar dein, isee mein aapkee bhalaee hai aur yeh advice vedon ke anusaar hai. Dukhon ka tyaag kar job dhoondo. Chintaon ko tyaag kar struggle karo tabhee future bright banega.