Anupam Saraswat: Yadi vedo me tilak kalava adi ka ullekh nahi hai to arya samaj ke log jab havan karne aate hai to tilak v kalava sabhi ko kyo ptayog karvate hai.arya samaj ke pandit seedhe haath me bandhte hai v sanatani pandit ulte hath me mahilao ko.gayatri parivar bhi kya vedo ko manne vala hai.arya samaj v gayatri parivar me kya anter hai.
Swami Ram Swarup: Chandan aadi ka tilak prannayaam ya sadhna se utpann garmee ko shant karti hai, isliye aisa tilak lagaane mein koi harz nahi hai. Haath mein kalaava baandhne ka indication yeh hai ki aap ved-vidya se judne ka sanklap kar rahe ho. Ismein bhi koi harz nahin hai. Phir bhi yadi koi chandan aadi ka tilak athwa kalaava na baandhe aur ved marg par chale to uska punnya kabhi bhi kum nahin hoga.
Gayatri parivaar ne vedon se kewal ek mantra nikaala, Gayatri mantra, vedon mein kaha is prakaar yeh ek kutran ho gayee jaise kisi kapade se chuha koi kapade aadi kee kutran (zara sa ek tukda) kaat kar le jaata hai aur baaki ka kapada chchod deta hai is prakaar yadi koi vedon se kutran leta hai, jaise Gayatri mantra le liya ya Mahamritunjaya jaap jo ki Yajurved mantra 3/60 mantra hai, le liya, to yeh apraadh mein aata hai. Waise bhi Gayatri mantra mein “Bhoohoo” ka arth praan deney wala Parmeshwar hai, Bhuvaha ka arth-dukh nashak Parmeshwar, Swaha ka arth Sukh Swaroop, athwa Sarvavyapak Parmeshwar, Savitah ka arth teeno lokon ko rachne wala Parmeshwar, Bhargo ka arth Shuddh Parmeshwar jise nehlane aadi kee zaroorat nahin hotee. Devasya arthat Dev ka arth- Sab kuch ann, dhan, parivaar aadi deney wala Parmeshwar hai. Parantu prayaha Gayatri ke path karne wale, is nirakar Parmeshwar ko bilkul nahin maante. Weh to sakaar kee Pooja karte hain. Aagey Gayatri mantra mein dheemahi shabda aata hai, jiska artha hai-hey! Prabhu, hum tere dhyan mein baithte hain-tujhe dharan karte hain. Parantu yeh bhi satya hai ki prayah Gayatri mantra ka jaap karne wale vedon mein kahe Yam, Niyam, asan, pranayama, dharnna, dhyan, is par dhyan bilkul nahi dete. Atah kewal Gayatri mantra ka jaap jismein hum prarthna kar rahein hain Parmeshwar se ki Hey! Prabhu, hum nitya tere dhyan mein baithte hain, par prarthna karke bhi dhyan mein nahin baithte to Parmeshwar se aisa jhoot bolkar kewal Gayatri jaap ka koi laabh nahin hota. Agar kuchh hota hai to yeh hota hai ki Kaam, krodh, mad, lobh, ahanka, Ninda, dwesh, chugli, jalan-sadan, sampatti-paison ke upar ladai, dunga, in samasyaon ka vistaar, shanti kisi ko bhi nahin miltee kyunki vedon mein kutrann ka vidhaan nahin hai aur ved jis marg par chalne ko nahin kehte us marg par chalne se dukh hee dukh hain. Jahaan tak Arya Samaj ka prashann hai, weh Charon vedon kee shiksha grehan karne ka updesh dete hain.
Ashok: स्वामी जी सादर नमस्ते, स्वामी जी (विश्व+आस)इन दोनों सब्दो को मिलाकर एक सब्द क्या होगा? कृपया बताये.
Swami Ram Swarup: Namasteji. “Vishwa” Shabda alag hai aur “aas” alag hai. Vishwa ka arth sampoornna Brahmaand aur “aas” shabda Sanskrit main mukh ko bolte hain. Vishwas ka sandhi-vichched vi+shwas+ghain; yeh hai. Issey vishwas shabda banaa hai. Vishwas ka arth bharosa hai. Vishwa +aas, yeh vishwaas ka sandhi-vichched nahin hai. Han! In donon shabdon ka arth alag-alag karna hoga jaise upar likha ki vishwa ka arth sansaar aur aas ka arth mukh.