Kirpal: Pranam swami ji.. I got your e-mail in which you gave me list of books that i can read. Swami ji, I can’t get these books by post. So, please tell me bookseller or bookstore where I could purchase these by my own..
Swami Ram Swarup: My blessings to you. Actually, two-three book-sellers are there in Delhi who sell our books. But, mainly you are advised to make contact with M/S Vijay Kumar Hassanand, Nai Sadak, Delhi-110006.
The website of M/S Vijay Kumar Hassanand is – www.vedicbooks.com.
You may send him the list of books because the book sellers do not have all the books in their stock. On receipt of your demand, they will contact us and we will provide them with books. But, it is better if you send postal address to us and we will immediately send you books. You may do as you like.
Anonymous: Query: who is the name of the eighteen puran and six ved?
Swami Ram Swarup: Yog shastra, Sankhya shastra, Nyaye shastra, Vedanta shastra, Vaisheishik shastra. Mimansa shastra. There are six shastras. As regards puranns, you may make contact with local temple to know. There are only four Vedas and not six. Those are Rigved, Yajurved, Saamved and Atharvaved.
B: Swami ji pranam. Jeev ko apni swabhavik vegon ko nahi rokna chahiye. jaise ayurveda me kaha hai ki hame uttam swasthya ke liye mal mutra ke vegon ko nahi rokna chahiye vaise hi Krodh, Kaam, jhooth bolna aadi vegon ko nahi rokna chahiye. jahan jarurat ho vahan jhooth bolna chahiye jahan jarurat ho vahan krodh karna chahiye. Ayurveda me kaha hai ki Stri me ras roop gandh ghraan sparsh sabhi panch indriyon ka aanand hai isliye isme Aakarshan hoga hi yah ruk nahi sakta. isiliye hamen purusharth ke sath Stri ke sath sambhog prapti ke liye prayatn karna chahiye. Vedon me Atharvaveda me spasht likha hai ki hamse jo dwesh karta hai ham uska vadh kar den. isiliye krodh aur manyu karna dharm hai. sahan karna dharm nahi hai.
Swami Ram Swarup: My blessings to you. Kaam, krodh, mad, lobh aadi jeevatma ke swabhavik gunn nahin hain. Jeevatma to shudh chetan aur har prakar ke vikaaron se rahit hai. Mal-mutra tyagna, yeh hamara arthat jeevatma ke gunn nahin hai, yeh shareerik/bhautik gunn hai. Jaise dekhna, sunna, hasna, sona, mal-mutra tyagna yeh swabhavik gunn hain, inhein nahin rokna chahiye. Han! Na bura dekhein, na bura bolein, na bura sochein, yeh apnane kee zaroorat hai, dhyan dene kee zaroorat hai.
Isliye gyan prapt karne ke liye vedic marg apnane kee zaroorat hai. Anyatha insaan jhoot ko satya, apavitra ko pavitra aadi manta rehta hai. Jhoot bolna ved-shastron ne spasht manaa kiya hai kyunki jhoot bolna paap hai. Han! Satya ko sthapit karne ke liye jhoot bolne se koi paap nahin lagta. Yeh paanch indriyon ke anand toh purush mein bhi hai parantu ved-shastra kehtey hain, yeh anand dharma ke anusaar tyagpoorvak bhogein, inse adharma na karein. Jab Bheeshma Pitamah jaise asankhya Brahmachariyon ne aur Raja Janak kee acharya jaisee aasankhya naariyon ne sampoornna aayu Brahmcharya dharann kiya to koi vishaye-vikaari manushya hee keh sakta hai ki hum paap yukta vishaye karein. Aisa vedon mein nahin likha hai. Vedon mein yeh kaha hai ki hamse koi dwesh karta hai ya hum kisi se dwesh karte hain, is dwesh kee bhavna ko hum jalaa dein arthat samapt kar dein. Aadmi ka vadh karne ko nahin kaha hai kyunki woh to paap ho jayega. Kewal dushton par krodh karna uchhit hai.