Yash: Namastey guru ji me abhi kuch dino se bhagwad gita pad rha hu or mene usme ye pada ki agar insan ko moksh prapt karna he toh usse apne dharam par atal rehna chahiye or kabhi bhi dharam ka sat nhi chodna chahiye or humesha bhagwan ke liye karya karna chahiye jisse hum karam me bandhe nhi to mera ye prashna he ki insan ka dharam kya he or kya nhi he insan ko bhagwan ke liye kya karna chahiye jisse bhagwan ki kripa uss par jindagi bhar bani rahe or wo moksh ko prapt ho sake kripya karke mujhe esi kitab bataiye jisse me ye jan saku ki dharam kya he kya nhi he.
Swami Ram Swarup: Dekho beta, yeh sab goodh gyan hai. Yadi aap sach-much mein sache jigyasu honge to avashya samajhane kee koshish karenge ki parlay ke baad jub prithvi kee rachna hotee hai tub amaithunee srishti ke manushya agyani hote hain. Unhein wahaan gyan koi nahin de sakta. Kyunki gyan dene wale sabhi gurujan pichchlee srishti mein apne shareer tyaag chuke hote hain. To yeh Ishwar ka niyam hai ki us samay sirf swayum Ishwar hee se utpann chaar vedon ka gyan Ishwar chaar Rishiyon ke hriday mein utpann karta hai. Aur wahi sacha Ishwareeya gyan aajtak guru parampara se prapt ho raha hai. Han! Beech mein ved vidya kisi karann se samapta ho gayee jisse hum manushyon ne ved se alag hokar apne-2 naye marg mazhabon ke roop mein banaye hain,lekin prithvi par abhi bhi thoda-bahut Ishwar ka diya hua vedon ka gyan jeevit hai. Sri Krishna Maharaj kee Bhagwad Geeta mein sampoornna Vedic gyan hee hai. Toh aap apne karma ke baare mein prashan ka uttar Bhagwad Geeta ke third chapter ke 15th shloka mein dekh sakte hain, jismein kaha hai ki Hey Arjun! Vedon se hee sab karam utpann hote hain, aur hey! Arjun, ved swayum Bhagwan se utpann gyan hai aur Ishwar Yajyen mein pratishthit arthat Pooja jaata hai. Dharam ka arth hee kartavya karam hai- jaise Manusmriti mein Bhagwan Manu ne kaha- “Vedah Akhilaha Dharmam moolam” arthat Dharma vedon se utpann hai. Yahaan Dharma ka arth kartavya karma hai. Atah Dharma Ishwar banata hai manushya nahi. Aap isey theek-2 samjhein ki vedon mein jo dharma arthat kartavya karma karne ko kaha gaya hai, manushya jub unhee karmon ko karta hai to usey dharmik purush ya dharmik naari kehtey hain. Dharma ke gyaara lakshann bhi kahe hain-
1.) Dhriti (Dhairya rakhna).
2.) Kshma
3.) Dum
4.) Asteya
5.) Shauch- Raag-dwesh na karna, shareer, mann saaf rakhna.
6.) Indriya nigraha- Indriyon ko dharma (Vedic shubh karmon) mein hee chalaana.
7.) Dhi- Satya purushon ka sang karke aalsya pramaad ka tyaag karke yogabhyaas se buddhi mein gyan badaana.
8.) Vidya- Prithvi se lekar Parmeshwar tak ka yathaarth gyan prapt karna.
9.) Satya- Jo padartha jaisa ho usko waisa hee samajhna.
10.) Akrodh- Krodh aadi doshon ka tyaag karna.
Insaan ka dharma hai ki Vedic marg par chalkar vedon mein kahe shubh karma karna hai, iske liye vedaadhyayan zaroori hai. Kyunki vedaadhyayan karna bhi manushya ka dharma hai aur dharma ke jo upar dus lakshann likhey hain unpar chalna, unko Jeevan mein dharann karna manuhsya ka dharma hai. Isee se Bhagwan kee kripa manuhsya ko devta banaatee hai aur uskee raksha karke moksh tak pahunchatee hai, isliye Jeevan mein ved marg par chalna manuhsya ka sabse uttam dharma (kartavya) hai. Dharma ke vishaye mein aap mere likhee do Vedic pustakein avashya padein-
1.) Bhagwad Geeta-I, II, III, IV.
Yeh pustak vedon par adharit hai aur sansaar mein likhee huee abhi tak kee sab vyakyaon se alag vyakhya hai kyunki ismein sabhi Geeta ke shlokon ko ved mantron se jod diya gaya hai.
2.) Vedic Satsang Sangrah- I.
Ismein ek chapter kewal Dharma kee vyakya par milega.
Anupam: Guruji sadar pranam.aajkal to apki dincharya ati vyasttam chal rahi hai.sabhi shrotao ko iska bahut labh mil raha hai.guruji ghar me sabhi nirogi v swasth rahe is hetu kis mantr se hawan me aahuti dalne chahiye.guruji shrikrshna ki bal leela v govardhan parvat adi udhane ki leelao ka varnan kaha milta hai.guruji me apki kuch pustake khareedana chahti hoo.mene order bhi place kia hai.ve mujhe kab tak prapt ho payengi.kya me dobara order karoo.guruji apke gyan ke prakash se meri kafi agyanta samapt ho rahi hai.mujh per apna aashirvad banaye rakhe.
Swami Ram Swarup: My blessings to you, beti. Yeh jo Sandhya ke mantra hain, yeh sabhi nirogta aur sukh se rehney ka ashirwad dete hain, isliye rozana dono time agnihotra karna chahiye. In leelaon ka varnnan Bhagwat purann main milta hai parantu aisee leela vedanusaar koi bhi nahin kar sakta aur isee Vedic adhar par vidwan log kehte hain ki yeh sab ved virudh hai. Aap pustakon ka dobara order place karein. Aapko bhej dee jayengee.