Surendra: Can newly married coupled can do jalabhishek to Lord Shiva before getting a baby?
Swami Ram Swarup: Matter of jalabhishek does not exist in Vedas. So, no comment, please. Vedas only tell to worship formless, omnipresent, Almighty God Who creates, nurses and destroys the universe.

Ravi: Apko mera sat-sat pernam guruji vaise to ho sakta hai mujhe aisa poochna nahin chahiye magar aap btaate hain ke man mein koi parashn ho to jaroor pooch lena chahiye iss parashn ke liye guruji aapko yad kerke aapki aagya or kshma chahta hoon, mera parashan hai abhi haal hee mein apne mitron ke sath mein ek jagah chla gya tha jo yebrahmkumaries jo ye om shaanti khte hain to unhone poocha ke aap kis chez ko mante ho or bhgvaan ko kis roop mein dekhte ho to meine saaf bol diya ke hmare char ved jo ki sirf ek sach hain jo thoda bhut mujhe pta hai ager koi bhee chez jo ho rhi hai jiska vernan ved mein hai vhee sach hai or mein ishwar ko agni ke roop mein hee manta hoon kyunki mein jab bhi havan kerta hoon to vheein pe aahuti deta hoon or apni burayeeon ko khatm kerne ke liye prarthna kerta hoon jb kabhi bhi samye lg jaata ya to phir man mein hee ishwar ka dhyan kerne ki koshis kerta hoon. to phir vo khte hain ke ager koi gurumantr ka jaap kerta hai aankhein band kerke to iss process se aapko neend aayegi or ishwar bar -bar ek naam ya gurumantr se ni milte balki ye to ek alag anubhv hai aap ager kissi se prichit hote ho to kya bar- bar uska naam lene se kya aapki dosti gahri hoti hai nahin kabhi nahin aap uske sath or alag baatein kerte ho to pta ni chalta ke samaye kb gujar gya or aapki dosti aage badati jaati hai issi tarah iswar hai tum usko pane ke liye kisi naam tak seemit hoker uske kabhi nhi ban sakte na hee usko paa sakte kisi bhi tarah ke sastr padhne ved- sunane hawan kerne se koi iswar ni milta ye to milta hai jab aap usase alag alag batein karein mahsoos karein tab dere -dere aap samajheinge or iss vdhi ko janker usase mil jayeinge.ye sab sunker mujhe aacha ni lga phir meine unhein thoda khaa bhi magar iss vishye pr jaada vehash nhi ki or ye sab baat aap se bta rha hoon.ek bar phir se iss tarah ki baat agr kuch mujhse galati hui ho to kshaama kernaji
Swami Ram Swarup: My blessings to you. Apne jo brahmakumariyon ko answer diya, weh answer vedon ke anusar hai aur aaj ke sabhi vidwan aur Parmeshwar aapke answer se prasann hain kyunki aapne anadi satya bola hai aur yeh anadi satya badal nahin sakta. Neend to aalsi, daridriyon aur bahanebazon ko aati hai, mehnatkash insaan ko kyun neend ayegi. Kyunki weh insaan Ishwar se prarthna aur khud neend ko bhagaane ka prayatna karta hai. Yog shastra sutra 1/28 mein kaha:-

‘Tajjapastadarthbhavnam’ aur Yajurved mantra 40/15 mein kaha ‘Om krato smar’ i.e., Oh! Jigyasu Ishwar ke naam Om ka jaap kar. To kya bhagwan aur Rishi neend laaney ke liye ishwar ke naam ka jaap kara rahein hain.

Jad vastu ka naam baar baar nahin japaa jaata. Naam to kewal chetan Ishwar ka hee japaa jaata hai jad sharer ka naam jaap nahin hota. Dost ka sharer to jad hai. Usey to kabhi samay par kisi function itiyadi par hee yaad kiya jaata hai.

Hum doston ke saath fazool baton mein samay kyun gavayein. Main motto to Ishawr parati hai aur achchhey vedic satsangi doston se hee yeh prapt hota hai jub hum vedic satsangi doston se vaartalaap kareingey to woh hamaree vaartalaap fazool nahin hogee balki lekhey mein lagegee.

Ved sunne, hawan karne aadi kee agya swayam ishwar vedon mein dey raha hai to aadmiyon kee baat sunkar hum Yajyen , Yogabhyaas, naam jaap aadi chodkar Ishwar ko naraz karke apne par museebaton ka bulawa na dein. Humne yeh sochna hai ki ved Ishwareeya vanni hai usmein jo bhi gyan aur agya hai weh Ishwar kee taraf se hai . To hum socehin ki kya hum Ishwar kee agya maaney ya aadmi kee agya maanein.

Aaj logon ne ved shastron se isliye munh mod liya ki ved virodhiyon ne ise kathin bataa-bataa kar apne jhootey marg chala diye hain aur ved ka adhyayan Brahmacharya, sanyam , shauch, santosh, tap aadi anek prakar kee vedic sadhna se hota hai jo kaami-krodhi , lobhi laalachi , paise batorney wale nahin kar sakte.

Jab hum vedon ke anusaar Ishwar ko jaanete hee nahin , ki Ishwar kisko kehte hain to usey paayeingey kaise; usey pehchante hee nahin tub Us-sey baatein kaise kareingey. Ved kehte hain pehle ved mantra sunkar, Ishwar ke gunn, swabhav, karmon ko jaano, uske baad vedic sadhna se Usey apne andar parakat karo. Yeh vedon mein Ishwar dwara kahee baat hai jo ki ek anadi satya hai. Baaki aadmiyon kee baat to jhooth hotee hee hai.

Aapke vedic vichar bahut achchhey hain, aapko mera baar baar ashirwad.