Atanu: Pranam acharyyaji some fanatic people are misinterpreting Atharvveda and telling that there is order of killing animals I am submitting the questions raised by him. Its my request to you the noble acharrya n enlightened guruji please remove his darkness of mind n give him enlightenment as Vedas are truth I am grateful to you and I will be grateful to you
Swami Ram Swarup: My blessings to you.
Vedon mein kahin bhi pashu marne athwa hinsa karne ke liye nahin kaha gaya hai.
Is vishaye mein main aapko meri pustak” Protect the holy cow say Vedas” padne kee advise karoonga. The price of the book is worth Rs. 40/- excluding postal charges. The book can be sent to you on receipt of your postal address, if you desire.
Atharvaved ke kand 4 sukta 3 mein 7th Mantra hain. In sabhi 7 mantron ke bhaav yeh hain ki rashtra mein vyaghra, chor, peeda deine wale rakshasa aadi, saanp, doosron ki hinsa karne wale paapi rashtra se door rahein. Phalswarup hee praja unnati kar saktee hai.
In hinsak pashuon ke dar se ghar se bahar nikalna bhi mushkil ho jaata hai.Isee karann Parmeshwar nein manushya ko in mantron mein yeh agya dee hai ki yadi yeh vyaghra, vrik (jackal, wolf etc) saanp, aadi hinsak pranni aapke (manushyon) ke niwas-sthan aadi mein aayein to unhein nashta kar do. Agar manushya unhein nashta nahin karega to yeh hinsak pranni manushya kee valuable precious life ko khatam kar deinge arthat yeh hinsak pashu manushyon ko maar deingey.
Isliye manushyon ko atma raksha ke liye hinsak praanniyon ko nasht karne ka adesh diya hai.
Yahaan hum yeh yaad rakhein ki kewal unhein hinsak pranniyon ko nasht karne ka adesh diya hai jo manushyon ke niwas sthan mein aakar ghustey hain. Lekin un hinsak pranniyon ko maarne ka adesh nahin jo jungle aadi arthat apney niwas sthan mein rehtey hain aur manushya ke niwas sthan mein nahin jaate. Doosra yeh hai ki aisey hinsak pranniyon ko kewal nasht karne ka adesh hai, jisse weh aur manushyon kee hinsa na kar sakein. Lekin unko maar ke khane ka adesh nahin hai
Atharvaved mantra 4/3/3 yeh hai …..
(vyaghra ) hey vyaghra! [vyaghra apnee shakti se pal bhar mein kisi kee bhi garden dabaa kar aur panjon se war karke marne mein smarth hai]
(pareinn) hamare aaney-jaaney ke marg se bhinna (patha) hetu jaye.
[arthat vyaghra jaise hinsak pashu hamare niwas aur aaney jaaney ke marg mein kabhi na aayein] aisa honey par unhein maarney athwa hinsa karne ka prashan hee nahin uthta. Mantra ke is bhag ko hum achchhee tarah samjhein ki jab vyaghra aadi hinsak pranni manushya ke marg mein nahin ayeingey tab hinsa kee avashyakta hee nahin hai.
Hinsa karne kee tab avashyakta hai ki jab weh manushya ke niwas sthan athwa marg mein saamne hee aajayein. Yahaan prashna hai ki tab manushya kya karey.
Kya manushya yahan apney bachav mein kuchh na karey aur vyaghra aadi ko kahe ki tu hamein maar ke kha ja hum hinsa nahin karte. Is prakar hum is mantra mein agey Ishwar kee dee hue is apnee atma-raksha ke liye kahi agya ko maanein aur weh agya hai:-
(te) hey vyaghra! Teri (akhshau)ankhon ko (cha) aur (te mukham) teri mukh ko (cha) bhee hum (jambhyamasi) nasht karte hain.
(yahaan Ishwar nein agya dee hai yadi koi bhi vyaghra jaise hinsak pranni manushya ke agey aa khada ho to sabse pehle uske mukh ko nasht karo, jis mukh se weh manushya kee ya kisi anya mrig aadi prani kee apne bhyyanak hinsak daanton se garden pakad kar, uskee saans kee nali dabakar usko maar deita hai.
Aagey mantra mein kahaa (aat) aur (sarvaan) sub (vinshatee) 20 (nakhaan) nakhoonon ko [nails] ko bhi hum nashta karte hain.
Arthat mukh ko nasht karne ke sath sath uskey bhyanak panjon ke nakhoonon ko bhi nahsta karein. Arthat un hinsak pranniyon kee hinsa karne ke sadhnon ko (daant, nails etc) nasht karke unhein hinsa karne ke ayogya banaa do.
Is vishaye mein hum dhyan karein ki mostly vaghra, tiger, etc., hinsak pashu jungle ke paas village (gaanv) aadi mein aakar unke chote chote bachchey goats, cows etc., ko maar kar utha ley jaate hain. Iske baad sarkar un hinsak pashuyon ke against jaatee hai.
Agar weh pinjare mein pakadein jayein to unhein nahin martey aur agar nahin pakde jayein to unhein maar kar manav jaati kee raksha karte hain.
Aisa karne ka updesh Bhagwan nein upar ke mantron mein diya hai. Isey hinsa ya buraa karna nahin kahtey.
Discovery channel par hum kai case dekhtey hain. Ek baap beti sair ke liye jungle kee taraf ko chale gaye. Jis raaste par ja rahey thei, usee rastey par saamne se apney do bachchon ke sath bhalu aa gayaa. Bhaav yeh hai ki woh baap beti jungle mein bhalu ke marg mein aa gaye. Bhalu nein yahi soocha ki uske bachchon ko maarney weh aa rahein hain. Ab bhalu nein to apne aur apney bachchon ka bachaav karna hee tha. Aur ek dum se baap beti par hamla bol diya. Baap beti ko bachaney ke liye bhalu se bhid gaya parantu weh bhalu kee maar se sakhat ghayal ho gaya aur donon nein pahad se koodkar jaan bachayee. Bahut ghayal halat mein unhein hospital mein admit kiya gaya jahaan bahut lambey ilaj ke baad unkee jaan bach gayee. Bhaav yeh hai ki Ishwar nein kaha hai agar admi jungle mein hinsak pashhu ke saamne aata hai to hinsak pashu aadmi par hamla kareingey zaroor. Aur yadi hinsak pashu admiyon ke marg mein aur unkey niwas sthan par jaate hain tub apney bachav le liye manushyon ko un hinsak pashuon ko maar girana chahiye.
My heartiest blessings to you.
Vivek: Charan sparsh swami ji ,apka bohut bohut thanks, swami ji kripya karke manorog ke rogiyon ke liye koi ayurvedick medicne bataye aur kripya aisi medicne batane ki kripa kare jo bohut effective ho awam ushe angreji medicne ke sath bhi le sake ,apka bohu bohut dhnayabaad
Swami Ram Swarup: My blessings to you.
You are welcome, please.
Is vishaya mein main aapko advice karoonga ki aap kisi achchhe experienced Ayurvedic doctor se milkar aur apnee sari problem bataa kar ussey dawai (medicine) lein.