Shyam Sundar: Swamiji apke chrno me sadar prnam swamiji jo healthy h vh to apke btaye huye marg ka anusarn kr skte h .lekin jo bimar ho jo bahra ho gunga ho vh mintro ka jap kese kr skta vh to na to kuch sun skte h or na hi bol skte h to unka kalyan kese ho skta h ji?
Swami Ram Swarup: My blessings to you, my son. Ishwar ka yeh updesh hai ki nar aur nari bachpan se hee ved marg par chalkar, brahmacharya aadi dharann karke nirog rahe. Nirogee hee uchit sadhna kar sakta hai.
Ab jo gunga hai ya behra hai, weh to karmanusar Ishwar kee den hai. Phir bhi Guru Virjanandji jaise mahaan Vedic Sanskrit vyakarann ke gyata aur vedon ke gyata netraheen hue hain aur unhonein Swami Dayanand Saraswati ji ko bhi vidya daan dee thee.
Shesh baat yeh hai ki Rigved mantra 10/135/1, 2 mein updesh hai ki manushya shareer dharann karke jeevatma apne pichhle karmon ka bhog bhogne aaya hai. Isliye Ishwar ke diye janam ko to challenge kiya hee nahi ja sakta.
Ronald: Aap ko pranaam, mere pass kuch sawaal hai.Pahela ki Raja dasrath ke dah sanskaar kisne ki, dusra -kya Krishna puran brahm hai aur antim hamaare desh me vivah me kanyadaan pahele hota hai phir vachno ke ardaan pardaan hota hai (kasam li jaati hai) yadi war ya badhu koi vachan maanne se inkaar kar de to kanya kah jaayegi?
Swami Ram Swarup: My blessings to you.
(1) Raja Dashrath ka daah sanskar unke bete Bharat ne kiya.
(2) Nahi. Vedon ke anusar, Avtarwad nahi hota. Poornna Brahma kewal ek hee they, ek hee hain aur ek hee raheinge, jisne yeh sara sansar banaya aur iskee paalna kar raha hai aur ant mein sanhaar karke phir sansaar kee rachna kar deta hai.
(3) Vedon mein vivah ko ek sanskar kaha hai aur jub vedon ke anusar koi vidwaan vivah karata hai to var athwa vadhu koi bhi vedon ke vachan maanne se inkar nahi karta kyunki yeh sab vachan dono ke liye Ishwar dwara banaye kalyannkari vachan hote hain.
Sandeep: Namaste Swamiji, today I received vedic books and cds, thank you very much for kind support, I am very happy to have all these books for prachaar karye, I would like to have a Ved mandir branch in Fiji islands it will going to help in prachaar karye in south pacific region, I am also like ardh warshik magazine Ved Ishwarye Vani hai, if you could send all the copies of new issues. Apart from these books which i have received today if you have some books books please send to me. If I need to send charges so let me know. In future we will looking some pracharak from Ved Mandir to come and do Ved prachaar in Fiji. Looking forward for favorable response.
Swami Ram Swarup: Namasteji. I thank you very much for your interest to spread Vedas’ knowledge. Your suggestions are also appreciated and we will sure think over it. We will soon send come copies of our magazine-Ved Ishwareeya vanni. My blessings to you, all.