Dinesh: Pranam swamiji,paap mukt hone ke liye kya karna chahiye aur joise logo ki buri nagar na lage ?aur jeevan ki aayu badane ke liye kya karna chahiye?
Swami Ram Swarup: My blessings to you. Ishwar nein Vedon mein paap mukta honey ke liye vedon ka adhyayan aur ved mantron se rozana hawan, naam jaap aur yogabhyas karne kee agya dee hai. Yeh shubh karya kisi vidwan acharya kee dekh rekh mein kiya jaata hai.
Yeh anadi kaal se chalee aayee Ishwar kee banayee parampara hai. Aap Arya samaj aadi mein jaakar local acharya jo vedon ke gyata hai, ussey sampark karein aur shiksha lein. Main tumhein neechey likhhein
Akash: Dharm kya hai? sabse jruri wo iya jivan me hum kiya bhul rahe hai sab?
Swami Ram Swarup: Dharma ka rehasya bahut hee gambhir aur rehasyamayee hai. Iske vishaye mein main aapko apney dwara likhee pustak-Vedic pravachan sangrah-I padne kee advise karta hoon. Kyunki yeh vishaye vistaar se yahaan samjhayaa nahin ja sakta. Thode se mein yeh samajho kee jaise Manusmriti shloka- 2/6 aur Bhagwad Geeta shloka 3/15 mein kaha ki Dharma Ishwar se utpann Vedon se banta hai, insaanon se nahin aur dharma ka arth hai- Kartavya karma jinko Yajurved mantra 40/2 ke anusaar karne se jeev arth, dharma, kaam , moksha prapt karta hai aur paap karmon mein lipt nahin hota. Ved-shastron mein dharm ko Hindu, Mulim, Sikh, Christian aadi nahin kehte. Insaan vedon se apne kartavya karma samajhe aur karey. Isee mein bhalayee hai, insaanon ke bataye dharma-karma mein andhvishwas, thothe-karma kand, brashtachaar, swarth, vyabhichaar anek buraiyan hain, inse bachne ke liye Ishwareeya gyan-ved par chalein. Sabse zaroori baat yeh hai ki insaan aaj moh-maaya, kaam-krodh sansari chamak aadi mein yeh bhool gaya ki uska janam Ishwar prapti ke liye hua hai. Vedon ke anusaar weh janam-mrityu ke rehasya ko naa jaankar apne aapko aaney wale janamon mein aur issee janam mein bhi maha dukh ko prapt hota hai.
10/135/1,2,3 ka bhaav hai ki Parmeshwar nein hamein manushya ka shareer pichhley janamon mein kiye hue paap aur punnya karma ka phal dukh aur sukh ke roop mein bhogne ke liye diya hai aur ab jo paap aur punnya karma kareingey uska phal agley janamon mein bhogeingey. Bhaav yeh hai ki atmahatya ek mahapaap hai isliye jo atmahatya roop paap karta hai, weh bhi janam lekar avashya is paap ko mahadukh ke roop mein bhogega hee kyunki yeh Ishwar ka banaya hua srishtee ka niyam hai. Aur woh janam Rigved mantra 10/51/3 ke anusaar manushya ke shareer ka nahin hoga apitu kutta, billi, gadha, ghoda, saanp, bichchhu athwa keet patang ka shareer wala hoga.
Asal mein to Ishwar nein hamein manushya janam vedic sadhna karke Moksha prapti ke liye diya hai yadi hum vishya-vikaron mein padkar shareerik aur mansik pareshaniyon ka khud shikaar ho jaatey hain aur yeh Ishwar kee dein, jo manav shareer hai, uska dharamyukta istemaal na karke atmahatya jaisa paap karma karte hain to iska matlab yeh hua ki hamne Ishwar kee yeh sundar den thukra dee aur Ishwar ko naraaz kiya. Issey to, karza aur pareshaniyon mein bhi zinda rehney wala Mirza Galib hee achchha tha, jo keh gaya:-
‘Mujhe kya bura tha marna,
Gar ek baar hota.”
Yahaan Galib keh raha hain ki Pareshaniyon se ghabra kar koi marega to iska matlab yeh thodi hai ki weh pareshaniyon se azad ho gaya. Weh aur paapon ke saath is mahapaap ko bhi bhogega. Satya yeh hai ki hum sansari vastuyon aur maya mein phans jaatey hain, jo ki Raj, tam aur satva gunn se banee hotee hain aur sadaa vishaye vikari aur dukh dene walee hain. Inka istemaal to vedic bhakti karne ke sath-sath tyagpoorvak kiya jaata hai tab yeh vastu sukh detee hain anyatha nahin detee hain, is vishya mein main apna ek article paste kar raha hoon.
Rigved mantra 10/135/4 states that those who make contact with learned acharya of Vedas and under guidance of acharya, they destroy their sorrows and attain salvation.
Isliye main aapko yeh advise karoonga ki vedic aadhaar par neeche likhee vedic pustakon mein se kuch books aap padein jo aapko bahut gyan deingee. Agar aap chahein toh postal address bhejkar books manga sakte hain.
List of books is appended below, please —–
S. No. NAMES OF BOOK COST PAGES
1. PATANJAL YOG DARSHAN PT I 131.00 332
2. PATANJAL YOG DARSHAN PT II 300.00 295
3. VEDIC PRAVACHAN SANGRAH(Reprinted) 120.00 118
4. VEDIC SATSANG SANGRAH PT II 12.00 29
5. MANAV DHARAM SHIKSHA 21.00 88
6. ATMIK UDGAR 51.00 42
7. DIL SE DIL KI BAAT 21.00 20
8 YAJ KARAM SARVSHRESHTH ISHWAR POOJA 65.00 132
9. BRAHAMCHARYA DUKH NIVARAK
DIVYA MANNI 100.00 173
10. MRITYU EK KATU SATYA 20.00 63
11. BHAJAN KIRTAN 40.00 64
12. SHRIMADBHAGWAD GEETA
EK VEDIC RAHSYA (CHAP. 1-6) 400.00 739
13. SHRIMADBHAGWAD GEETA
EK VEDIC REHASYA (CHAP. 7-12) 400.00 594
14. SANDHYA MANTRA 25.00 33
15. VEDIC PRAVACHAN SANGRAH PT II 120.00 124
16. SHRIMADBHAGWAD GEETA
EK VEDIC RAHSYA (Chap. 13-15) 250.00 246
17. SHRIMADBHAGWAD GEETA
EK VEDIC RAHSYA (Chap. 16-18) 250.00 246
18. NAARI DUSHKARMIYON
PAR VEDON DWARA DAND 25.00 38
(IN HINDI 1-17)
19. VEDANTA & ETERNAL VEDAS’
PHILOSOPHY PT I 31.00 77
20. VEDANTA AND ETERNAL VEDAS’
PHILOSOPHY PT II 20.00 92
21. YOGA A DIVINE VEDAS PHILOSOPHY 65.00 123
22. VEDAS A DIVINE LIGHT PT. I 250.00 190
23. PROTECT THE HOLY COW, SAY VEDAS 40.00 58
24. VEDAS A DIVINE LIGHT PT. II 121.00 279
25. VEDAS A DIVINE LIGHT PT. III 100.00 126
26. VEDAS A DIVINE LIGHT PT. IV 100.00 154
27. VEDAS A DIVINE LIGHT PT. V 140.00 104
28. VEDIC PUNISHMENT FOR CRIMINALS 25.00 54
(Women offenders)
(IN ENGLISH 18-27)
29. VEDA – DIVYA GNANA (translated in Kannada)
(Originally in English as vedas a divine light Pt. I) 120.00 202
30. VEDAM–VAAZHVIN VAZHIKATTI
(Translated in Tamil) 120.00 218
(Originally in English as VEDAS A DIVINE LIGHT PT. I)
31. VEDA – DIVYA GNANA (translated in Kannada)
(Originally in English as vedas a divine light Pt. II) 100.00 111
32. PROTECT THE HOLY COW, SAY VEDAS
(Translated in Tamil) 50.00 68
33. VEDANU DIVA GYAN (Translated in Gujrati)
(Originally in English as VEDAS A DIVINE LIGHT Pt.I) 120 178
(IN OTHER LANGUAGES 28- 32)
LIST OF CASSETTES & CDs Sung by Swamiji
1. SANT VANNI CASSETTES (PT 1-8) 35.00 EACH
2. BHAJ GOVINDAM CASSETTE 35.00
3. VCDS VEDOIN KEE CHHAWON TALE PT1&2 50.00 EACH
4. ISHWAR KEE AWAZ SUNO (ACD) 36.00
5. SAB MEIN VYAPAK JYOTI EK (ACD) 36.00
6. SANT VANNI PT. 1-4 (ACD) 35.00 EACH
7. VALMIKI RAMAYAN (ACD) 36.00
8. ISHWAR BIN SUKH NAHIN (ACD) 36.00
9.SARVAVYAPAK ISHWAR MAHIMA SUNO(ACD) 36.00
10. SAB GOBIND HAI (ACD) 45.00
11. AMRIT VANNI VED (ACD) 36.00
12. BHAJ GOVINDAM (ACD) 35.00
13. VED VANNI KE UPDESH (ACD) 36.00
14. PRABHU SA KOI NA DOOJA (ACD) 30.00