Rajat: Guru ji parnam.. Apne jaise batya ki Vedas me Kisi v Avtaar ki baat nhi ki gyi hai. Jaise ke Ram, vishnu, or Krishna Maharaj v. Kya ap Is verse ko explain kro ge?
The one born before sunrise and later taken to the place of the cows, is one without a second. He is adorned with bright, attractive and transcendental ornaments. The Gods and the Seers worship him with unlimited faith and devotion.” – (Rig Veda – 3.55.1
This verse gives very strong hints about Lord Krishna or Not, Please guru ji margdarshn kijiye
Swami Ram Swarup: My blessings to you. Mantra ka bhaav hai ki jo vijuli naamak vastu ko pratah kaal se sevan karte hain unke samaan ek adwitya Brahma jo prakrtiti aadi padrthon mein vyapta hai aur sabko dharann karta hai wahi sab ke dwara upasana karne yogya hai.
Arth- (yat) jo (ushsaha) pratah kaal se (purvaha pratham) hue (vayushuhu) vishesh karke vaste hain weh (mahat) badaa tatvanamak (gauhu) prithvi ke (pade) sthan mein (vijagye) utpann hua jo (ekam) Dwitiya aur sahaya rahit (devanaam) prithvi aadikon mein bade (asuratvam) praano mein ramne wale ko (pra bhushan) shobit karta hua (adha) uske anantar (devanaam) vidwanon ke (vrat) niyam (up) samip mein (nu) sheegra utpann hue, usey aap log janiye.
Is mantra mein kahin bhi Sri Krishna Maharaj ke vishaye mein nahi kaha gaya hai. Sri Krishna Maharaj dwapur yug mein hue jabki ved anaadi hain. Vid-gyane se ved shabda nishpann hota hai jismein anaadi gyan hai na ki kisi vastu, vyakti aadi ke vishaye mein.
Jugalpreet: Babaji namaskar.. apke charno me koti koti pranaam.. babaji bhagwan mujse pyar krte hai na..? Mujhe kabhi akela to nhi chhodenge na? Agar bhagwan mujhe bhool gye to?
Swami Ram Swarup: Ashirwad beti. Bhagwan shudh hriday wale nar-nariyon ko pyaar karte hain aur dushton ka naash karte hain isliye hamein Bhagwan ka pyaar prapt karne ke liye hamesha paap se parey rehna chaiye aur rozana uske naam ka jaap karna chahiye, sadaa shubh karma karne chahiye. Beti! Aap bhi bholi-bhaali kanya hain, aapko bhi Bhagwan avashya pyaar karte hain.