Suvrat: Guruji, charansparsh. Sarvapratham hum kisi Prakar ki bhul ke liye kshama chahte hai. Hum ye batana chahtey hai ki Swami Ramdev ji Sri Aurobindo ji ke siddhanto ko sthapit karney hetu tatpar hai. Iska ullekh ve prayah kartey rehtey hai. Ab jab unke pas bohot arthik samarthya hai tatha desh ke pratyek jiley mey gurukul kholney waley hai, hamey lag raha hai ki jo rishi parampara sey vedmantro ka arth karney ki vidhi hai voh sankat mey hai. Jaise aapney pehley hamey bataya tha ki Sri Aurobindo ji ke Physical Cosmology vedon sey nahi miltey aur humney bhi Sri Aurobindo ji ke vedbhashya ko Rishivar ke vedbhashya ke Saath milakar dekha jo mel nahi khatey. Aur Jaha ek mantra ke do do arth hai waha Rishivar ne alankar ka ullekh Kiya hai.
Swami Ramdev ji ney rishi parampara ke anusar vedanukul jo jo karya Kiya Hai unke prati hum bhi kritagya hai parantu asatya ke prachar se thodi chinta ho rahi hai. Guruji, ek prashn puchna tha, yaha Assam ke saath saath purey uttar-purvanchal ke log jo mansahari hai is Pradesh ka uddhar keise hoga? Aapka shishya Suvrat.
Swami Ram Swarup: My blessings to you. Beta, ismein koi sanshay nahi ki ved mantron ke arthon ko parampragat se karne ki vidhi vartmaan mein lupt prayah hai aur sankat mein hai.
Phir bhi sansaar ke karya to Ishwar ke niyam ke adheen hee chalte hain. Bhaav yeh hai ki yadi koi is vidhi ko nasht-bhrasht karna chahte hain ya kar rahe hain ya kar chuke hain to Parmeshwar aise paap ka dand ghor dukhon ke roop mein deta hai aur jo anadi satya gyan ved hai uska kuchh bigad nahi paata arthat woh dheere-dheere kam to ho jaata hai par nasht nahi hota. Jab yeh srishti parlay ko prapt hogee tab swabhavik hee jitna bhi ved-virudh agyan, pakhand, andhvishhwaas aadi chal raha hai, weh sab nasht ho jayega aur nai srishti mein kewal char vedon ka hee danka bajega. Atah Ishwar ke niyamon mein rehkar hee hamein sukh parpt hota hai. Atah hamein asatya ke prachar se na to darna chahiye aur na hee chinta karnee chahiye kyunki satya ka arth hee yahi hai ki woh sadaa rehta hai. Atah satya ved sadaa raheingey. Asatya ka yahee arth hai ki weh samay aane par nasht ho jaata hai. Atah yeh paakhand, anaachar, andhvishwaas aadi nasht hokar hee raheingey.
Beta, Asaam ho Uttranchal ho ya bhoomi ke koi bhi desh/bhag ho, uspar vedon mein kahe Ishwar ke niyam laghoo hote hain yadi in sabko ved ka gyan nahi hai to ya to Yajurved mantra 40/3 ke anusaar pichhle janam mein shubh karma na karne ke karann aisa janam mila ki- :”Andhein Tamsaha Vritaha” ki inhein sampoornna aayu agyan roopee andhkar mein hee rehkar vishay vikaar aadi ka bhog bhogna hota hai athwa swayam manushya ved gyan ko paane ke avsar kho deta hai. Donon hee avastha mein Ishwar ke niyam karya karte hain. Hamein chinta ki avashyakta nahi hai hamara to kewal yahi kartavya hai ki hum samarthyanusaar ved vidya grahann karke aage failayein.
Deepak: Namaste aur charan sparsh swamiji pichel 6 mahino baad apko yeh message bhej raha hoo, dhanywad. Your loving son Deepak Chainani.
Swami Ram Swarup: Blessings to you.