Deep: Pranam Guruji. Aap kaise hai? Guruji Mera ek sawal hai, agar aap uska please uttar de to bada upkar ho ga. Guruji important Kya hai, pratigya/kasam ki rakhsha karna ya dharam ki rakhsha karna. Mera Matlab hai, aapne bola tha k pratigya/kasam todna paap hai, but Guruji man lijiye k kisine aawesh me aakar ya kisi aur mental condition me , chahe parampita ki ya aapne guru ki ya aapne mata-pita ho, ya kisiki v nam k kasam khai ho ya pratigya li ho Jo pratigya na sirf dharam virudh hai balki us pratigya ka sidha sidha Matlab aapne gurujan, parampita ki insult hai, toh aise condition me Kya sahi hai, I mean sahi maino me dharam Kya hoga, kasam ki rakhsha karna ya kasam todna? Kya aise situation me kasam ya pratigya todnahi dharam Mana jayega? Kya pratigya dharam k upar ho sakti hai? Dharam ki rakhsha k liye pratigya todna sahi hai, ya kisi v kimat par pratigya/kasam ki rakhsha hona zaroori hai, chahe wo kaisi v pratigya kyun na ho, Kya sahi hai actually me?
Guruji Mera ek aur sawal hai k Kya Manas vivah bolke kuch hota hai, Yani man lijiye kisine apne maan se kisiko apna partner maan liya ho, usse maan me shadi Kar li ho to Kya use vivahit hona Mana jayega? Jaise humlog mythological serial me dekhte hai Manas putra, ya putri, waise hi Kya Manas pati ta Patni v hoti hai Kya vedanusar? Ye Manas ka real definition Kya hai as per vedas? Guruji Mera last sawal, Kya mukt atmai ishwar k saman hoti hai? Aapne ichanusar wo kuch v Kar sakte hai? Kya wo help ya kisi cheez ki rachna v Kar sakti hai? Unhe next to God bolna sahi hoga? Hey Guruji kripaya mere sawalo ja uttar dijiye ga . Aapse sahi margdarshan pake Zindagi me chalna chahata hu, isliye please uttar dijiye ga. Aur agar kuch galat puch liya ho ya dhrishtita ho gai ho to please maaf Kar dijiye ga.
Aapna ashirwad deke kripa kijiye Guruji. Thank you Guruji. With respect, one of your follower.
Swami Ram Swarup: My blessings to you. Main theek hoon beti aur aapkee kushaltaa ke liye Ishwar se kaamna karta hoon. Dekho beti, kasam, pratigya ya vachan kisi punnyavaan karma ke liye hee kiye jaate hain, paap karma ke liye kabhi nahi. Agar kisi ne paap karma karne ke liye bhi kasam khaayee hai to weh khud hee paapi ho jaata hai. Dharma ka arth hai- kartavya karma karna. Isliye jo ved-shastron ne hamein Ishwar Bhakti, shubh karma aur gyan-vigyan mein unnatee karne kee aagya dee hai, wahee shubh karma jub hum karte hain to hum apna dharma nibhaatey hai. Isliye hum sadaa dharma ka achcharan karein, adharam ka nahi. Dharam nibhaane ke liye pratigya lee jaati hai jaise Bheeshma Pitamah ne dharam (Kartavya-karma) nibhaane ke liye pratigya kee thee ki weh vivah nahi karengey aur raajgaddi par nahi bathengey- Raja nahi banegey aur bahut lalach dene par bhi unhonein woh pratigya nahi todee, apna dharam nibhaaya.
Aath vivah mein ek Gandharav vivah hota hai jismein Ladka-Ladki ek doosre ko mann se Pati-Patni maan lete hain. Yeh bhi dharam hee hai aur isey bhi vivah maana jaata hai. Waise bhi paap ya punnya teen prakaar ke hotey hain- Mansa, Vacha, karmana arthat mann dwara, vachan dwara aur karma dwara teeno hee mane jaate hain. Yahi manas kee real definition hai jo mann se satya maan liya usey Jeevan bhar maanana chahiye.
Mukta aatmaon ka arth hai ki woh har prakaar ke karam bandhan se azad ho gayee hai. Us par koi bandhan nahi hota. Weh sadaa Ishwar ke saath anand mein rehtee hai aur apnee ichchaanusaar dharamyukta shubh karma kartee hai.
Help kar saktee hai, rachna nahi kar saktee.
Han! Ve next to God hotee hai aur yeh title swayum Mukta jeevatmaon ko vedon mein Ishwar ne diya hai. Parantu yeh baatein hee hai, baton ka kya. Muktee prapt karna kai janmon kee kathin tapasya ka phal hota hai kyunki sadharann jan toh paap karma mein lipta ho jaata hai joki nahi hona chahiye. Birla hee koi ved marg par chalkar Indriyan sanyum karke Ishwar ko prapt karta hai.