Anupam: गुरुजी प्रणाम।वेद वाणी पत्रिका में आपका एक लेख पढ़ा पुनर्जन्म।वैसे तो आपसे पहले भी ज्ञात हुआ कि आत्मा 12 दिन इन इन जगह जाती है।पत्रिका में 7वे दिन मनुष्ययादि प्राणी के पास जाने का जिक्र है।इसका क्या अर्थ हुआ।क्या आत्मा वापस अपने स्वजनों के पास आती है।गुरुजी आपने बताया था कि 13वे दिन आत्मा को शरीर मिल जाता है पर ये भी बताया था कि पहले वो वनस्पति में आती है फिर मेल उसका सेवन करता है तो क्या वनस्पति में आते ही मेल द्वारा उसका उपयोग कर लिया जाता है।गुरुजी भ्रांति दूर करे।एक जगह ये भी लिखा है कि सांख्य सूत्र 3/78 बताते हुए कि शरीर मे रहते ही मोक्ष हो जाता है।क्या इसका तात्पर्य जीते जी वैराग्य होने से है।
Swami Ram Swarup: My blessings to you, beti. Manushya aadi pranni ke paas jaaney ka arth hai ki prithvi par jahaan-2 prann lene wale prani hain, wahaan-2 jeevatma jaati hai. Jeevatma ko to swajanon ka gyan hee nahin hota kyunki weh sushupt avastha (behosh avastha jaisee) mein rehtee hai. Male member ke shareer mein pravesh karke jeevatma Ishwar kee vyavastha mein kuchh samay paschaat karmanusaar mata ke garbha mein aatee hai.
Moksh to shareer mein rehte hee hota hai, mrityu ke pashchaat jeevatma ka moksh nahin hota. Shareer mein rehkar hee Yogi kee Samadhi lagtee hai aur jeevatma moksh ko prapt hotee hai aur vairagya bhi jeete jee hota hai. Vedic sadhna ke anusaar chahe is janam ya agle janam mein vairagya ho.
Anupam: गुरुजी प्रणाम।गुरुजी आपके प्रवचन दिन प्रतिदिन ज्ञान वर्धन कर रहे है।गुरुजी एक दिन आप गर्भाधान संस्कार करा रहे थे।एक प्रश्न है यह संस्कार कब कराया जाता है।जब कोई गर्भवती हो जाये तब या गर्भवती होने से पूर्व।गुरुजी कभी कभी मोबाइल में नेट सही से वर्क करने के बाद भी mixer app खोलने पर offairलिखा आता है व इक्छा होने पर भी काफी कुछ सुनने से छूट जाता है।क्या करे।गुरुजी आज आपने यम नियम पर काफी बताया।प्लीज इस पर कुछ दिन रोज प्रवचन दे।हम सभी के लिए अच्छा होगा।गुरुजी क्या मैं पुस्तको के लिए दोबारा आर्डर भेजू।गुरुजी सुनते सुनते मुझे काफी मंत्र अच्छे से बोलने आ गए है।लेकिन क्या दोनों समय हवन करना जरूरी है।मैं अपने बेडरूम में ही नामजप करती हूँ क्या किसी अलग कमरे में बैठकर करना जरूरी है।
Swami Ram Swarup: Garbhadaan sanskaar garbh dharan karne se pehle kiya jaata hai. Yam, Niyam ka varnnan Yog Shastra Part I mein bhi detail se kiya hai, wahaan avahsya padna beti. Ishwar kee agya dono samay havan karne kee hai parantu yadi koi vivash hai to ek samay havan karna prarambh kare, aage chalkar Ishwar kripa se samay nikal hee aayega. Bedroom mein naam japna theek hai parantu koshish yeh karein ki bed par na japkar cotton kee chaadar bichhakar uspar baithkar naam japein.
Prakash: Guruji charan sparsh, guru ji mai janana chahta hu ki vedo ke anusar ishwar ki bakti kaise karni chahiye kyonki ishwar to nirgun aur nirvikar hai, to guru ji ishwarka dhyaan kaise lagaya jaye,wo parbramh swaroop kon sa hai kaisa dikhta hai, us chetan parmatma ko kaise man mai basaya jaye jisase us parbramh ki prapti ho. guru ji itnalamba question puchhne ke liye kshama chahta hu.
Swami Ram Swarup: My blessings to you. Vedon se Ishwar kee bhakti ko jaanane ke liye jigyasu banker manushya ko ved ke gyata ke paas jaakar ved sunne chahiye kyunki yeh ek lenghthy vishay hai aur Acharya is vishaye ko shishya ko saamne baithakar hee samjha sakta hai. Phir bhi aap kuch pustakein mangva kar yahaan se padein jisse aapko ved aur Ishwar Bhakti ke baare mein kuch gyan prapt hoga. Jaise Ishwar nirakaar hai to uska dhyan donon bhavon (eyebrows) ke beech mein siddhasan ya padmasan pe baithkar khaichidi mudra mein lagaya jaata hai lekin dhyan lagane se pehle yam, niyam, asan, pranayama, pratyahaar, dharnna in angon ka abhyaas karna tatha dhyan lagne par Samadhi avastha mein dhyanleen ho jaana, yeh Ishwar kee upasana hai. Ise pehle Ishwar kee upasana hai ved sunna, ved mantron se nitya agnihotra karna/Yajyen karna tatha nitya Ishwar ke naam ka jaap karna. Yeh sab shiksha koi Yog aur ved vidya ka vidwan hee deta hai. Isliye aise vidwan se sampark karna ati avashyak hai. Ishwar swayam vedon mein kehta hai ki aisey vidwan ke bina na to koi ved ke gyan ko prapt kar sakta hai aur ved ke gyan ke abhav mein koi mujhe (Parmatma ko) nahin jaan sakta.
Prem ussey hota hai aur usey hee mann mein baithaya jaata hai jiske hum gunn sunte hain. Filmon ke gunn sunkar filmon se pyaar ho jaata hai. Kanya ke gunn sunkar var paksh usey vadhu ke roop mein sweekar karta hai aur kanya paksh var ke gunn sunkar usey var ke roop mein sweekar karta hai. Isee tarah phool. Suraj, chandrama, beta-beti ke gunn ityadi. Parantu aaj ke yug mein yeh kathinayee hai ki nirakaar, Sarvavyapak. Sarvashaktimaan, Srishti rachna, paalna aur sanghar karne wala, jo prithvi par kewal ek hee Ishwar tha, ek hee hai aur ek hee rahega, us Ishwar ka vedon se koi gunn vidwanon se nahin sunta isliye is ek Ishwar se kisi ka prem nahin hai aur usey koi bhi mann mein nahin baithata. Manushya ne Mahabharat kaal ke baad ved bhula diye aur apnee suvidha ke anusaar naye-2 mat banaa diye aur unhee par chal rahein hain.
Isliye pratyek ko apne-2 mazhabon ke baare mein pad-sunkar aur apne-2 mazhabon mein varnnan kiye hue Ishwar ke baare mein pad-sunkar prem ho jaata hai. Isee prakar yadi manushya vedon mein kahe Ishwar ke gunon ko sunney lag jaate to weh manushya Sri Ram, Dashrath, Mata Sita, Kaushalya aur Ahilya, Raja Harishchandra aur anek Rishi-Muniyon jaise bankar sampoornna prithvi par shanti sthapit kar sakte hain kyunki in sab vibhutiyon ke paas kewal ved ka gyan tha aur waise bhi us samay aaj ke mazhab nahin baney the.