Anonymous: What was the most important belief common to the philosophies?
Swami Ram Swarup: To know the truth.
Jugalpreet: Sat Sri Akal Maharaj ji.. apke charno me pranaam.. babaji kya hume apne guru k bare me kisi se baat nhi krni chahiye?? Mera bht dil krta hai guruji ki ustat krne ka.. din raat guru ko yaad krne ka.. guru k updesh yaad krne ka… Sbko bithakar bs apne guru ki tareef krti rhu .. aisa dil krta hai..
Swami Ram Swarup: Ashirwad beti. Vidwan guru sabko gyan, shubh karma aur Ishwar kee Pooja-bhakti ka updesh deta hai. Rashtra kee raksha ka bhi updesh deta hai, bhaav hai ki vidwan guru toh updesh dekar jeev ko moksh tak le jaata hai, Parmatma se milaata hai, dukhon ka naash karta hai etc. Isliye guru karna aur uske gyanvaan, shubh updesh sunkar Jeevan ko lekhe lagaana sabka kartavya hai. Mahabharat mein Bheeshma Pitamah Yudhishthir ko updesh dete hain ki Hey Yudhishthir! Jo Guru ke updeshon ko sunkar bhi guru kee prashansa nahi karta, unke tap, sanyam-niyam aadi ke gunon ka doosron se vyakhyan nahi karta weh paap ka bhaagee hota hai.