Suman Singh: Dhanywaad guruji.hum tript hue.eetni jald reply ki ummeed nahi thi.hum to apne aap ko dhany maan rahe hai ki aapka reply aaya.hamare babuji retired ho kar gaytri pariwaar se jud gaye the.bahut niyam se rahte hue abhi tak khushi khushi din vyateet kar rahe hai.kabhi kabhi mnn bahut frastate ho jata hai tabhi aapse sawaal kiye.mera bachpan se budhe ,asahaay log ya viklaang aur chote bachhe ki taraf dhyaan jyada lagta raha hai.een sab ko khuush rakhne ke liye kissi bhi hadd tak jaa chuuki hoon.aap ke paas kabhi aane ka mauka mila to jaruur aayenge.dekhe aana mere bhaagy mein hai ya nahi?filhaal to wife,bahu,ma aur saas aur sabse badhkar naani ka rishta nibhane mein vyast hoon.grihast jeevan se kab aur kaise nikal kar aapse milna hoga ye main samay par chodti hoon.ek baar fir dhanywaad. suman singh.
Swami Ram Swarup: Mera aapko ashirwad aur vidya prapti ke liye aap parivar sahit kabhi bhi yahaan Ved mandir, yol mein aa saktee hain. Rehne aur bhojan ka koi kharcha nahi liya jaata. Rehne kee, bhojan kee sab vyavastha nishulka hai.

Yogi Panchvedi: SAT GURU GORAKH ! OM NAMA SIBAYA !
Cordial Greetings from The Land of Mt. Everest & The Land of Buddha… It is nice to know that we speak the same language. Let the world know that Guru Gorakshanath is the father of Tantra & Yoga and was started from the pious land of Nepal. Thank you very much for your every effort in answering Vedas. I respect your words as described in your article. I think there is a 5th Veda as well.
Swami Ram Swarup: Aapke vichar padkar hriday mein anand ka anubhav hua. Vartamaan mein adhiktar sant-sadhu pad-sunkar rat-kar bhashann karte hain, vedadhyayan aur ashtang yog kee sadhna birla hee koi karta hai. Mahaan yogi poojneeya Machchhnadarnathji Maharaj aur unke priya shishya puja Shri Gorakhnathji Maharaj, donon ke Jeevan se aur unkee Yog sadhna se maine prernna payee hai. Guru Gorakhnathji ka main bhajan bhi gaata hoon, un jaise Yogi aaj durlabh hain. I shall first try to read your article which is attached by you. Then again I will make contact with your good self, please.

Thanking you, please.

Yash: Pranaam swamiji, swamiji, main abhi engineering student hu..mujhe aaapki site dwara vedic gyaan mein bohat ruchi ho gayi hai…kripya kya aap apne dwara likhi gayi saari books (english n hindi) ka set mujhe bhej saktey hai..swamiji main dheere ,dhree karke aapko payment kar dunga..aapka bada aabhaar rahega..dhanyawaad swamiji…
Swami Ram Swarup: My blessing to you, my son. Maine ab tak Ishwar kripa se thirty books likhee hain aur ek darjan se adhik Vedic bhajan banaye hain aur pravachan ke sath gaye hain, jinkee Cd bhi hai. Main abhi kewal aapko neeche likhee do books aur ek Cd bhej raha hoon.

1.SHRIMADBHAGWAD GEETA EK VEDIC RAHSYA (CHAP. 1-6) Rs. 400.00

2.VEDAS A DIVINE LIGHT PT. I Rs. 250.00

3. ISHWAR KEE AWAZ SUNO (ACD) Rs. 36.00

Amit Puri: Namskarm ji very very thankful for your guidance..
Swami Ram Swarup: Namaskarji. You are welcome, please.