Jatin Agarwal: Acharya ji, # jaap kise kehte hain,#isko swason se kaise ginti karte hain.# yeh sirf ek shabd ka hota hai.
Swami Ram Swarup: My blessings to you. Ishwar ke naam ke smaran ko jaap kehte hain. Ishwar ka naam kisi ved ke vidwan se deeksha mein prapt kiya jaata hai aur jub yeh naam saanson se jaapa jaata hai to ussey- Upanshu jaap kehte hain. Aap kisi vedon ke gyata acharya se visheshkar Arya Samaj mein jaakar yeh shiksha prapt karein.
Anonymous: PRANAAM SWAMIJI,,charan sparsh..swamiji maine aapki book brahmcharya padhi aur main ab us par amal karna chahta hu..swamiji usme aapne bramcharya na palan karne se ussey hone waali bimaariya ka bhi jikra kiya tha..main swamiji ab buraiyon ka tyaag karna chahta hu..swamiji aapse anurodh hai jo iske kaaran jo damages hue hai jaise aapne bataya tha ki nassein kamzor hona ,,kya swamiji aap hue hue damages ka ilaaj bata saktey hai..maine sunaa hai atharved mein impotency ka illaj hai.. agar ilaaj bata de toh badi kripa hogi..charan sparsh swamiji ..dhanyawaad..
Swami Ram Swarup: My blessings to you. Beta, iska ilaj abhi se Brahmacharya dharann karna hee vishesh hai. Doosra, aap medical advise lein. Aapko turant labh hoga. Mera aapko ashirwad.
Ved Vrat: Respected Swamiji, Namaskar. What are thoughts? Are they Jada or Chetan? Where do the thoughts emanate and reside, whether in mind or in soul? Thanks.
Swami Ram Swarup: My blessings to you. Thoughts are jad, not Chetan / these thoughts are generated in the mind. Though mind and intellect are non-alive matters (jad) but due to presence of soul in human body, said matters work as if these are alive matters. You are welcome, please
Jatin Agarwal: Acharya ji, pranam, havan karte samay janeyu pahinene ke liye kyon kaha jata hai?
Swami Ram Swarup: My blessings to you. Hawan karne ke samay janeyu pehnane ka niyam anadi kaal se hai arthat aaj tak jitni bhi srishti bani aur nasht hui aur present prithivi banee hui hai to janeyu pehnane ka niyam pratyek srishti ke arambh se ho jaata hai kyunki yeh aayu ko badane wala hota hai aur ismein teen dhaage yeh batate hain ki maano yeh prakriti ke teen gunn hain aur ismein jo gaanth (knot) lagayee hui hai, uska bhaav yeh hai ki janeyu pehnane wala brahmacharya ke niyam ko nibhata hai aur prakriti ke teen gunnon ko weh bandh leta hai.