K: Swami guru ji namaskar me bhot presan hu aj mere gusse aur dr ki vjh se meri life me problam h jisse me pyr krti hu vo mjhse dur hogya hm dono ek dusre se bhot pyr krte the lekin ek din itna bura din tha ki vo chhot gya guru ji me usse bhot pyr krti hu uska name rohit singhal kiya ap bta skte he ki vo meri life me dubara aiga aur mjhse sadhi krega plz guru ji mdd krdo mjh milvado usse kirpa kro ap plz apko mera prnam
Swami Ram Swarup: Abhi bhi tumhein samajh nahi aaya ki woh ladka tumse shareerik pyar karta tha waise tumhein pyar nahi karta tha. Agar pyar karta to tumhein chhod kyun deta. Weh to har haalat mein tumhein apnaata. Phir sansarik hisaab se bhi ved kehta hai ki shadishuda naari athwa kanya ek raat bhi bina ghar walon kee ijazat ke baahar reh jaaye to uske character par daag lagta hai.
Harsh: Pranaam swamiji,,swamiji maine manu smiriti mein padha tha ki if wife is barren she should be abondened within 8 years…swamiji kya yeh vedo k anusaar hai…agar hamare maa-baap mein koi shareerik problem ho toh bhi hum unhe nahi chodte aur unki seva hamara dharam hota hai..kya yeh pati ka dharam nahi hota ki woh apni patni ka jeewan bhar saath de.uski iss kami ka ehsaas naa hone de?
Kya vedon k anusaar yeh uchit achran hai ki aadmi apni patni chd de?
Aur jo log aisa kartey hai ,kya iswar unse naraaz nahi hotey?
Swami Ram Swarup: My blessings to you. Manusmriti mein kayee shloka prakshipt hain, doosron ke dwara add kiye gaye hain. Aap M/S Vijay Kumar Hassanand, Nai Sadak, Delhi-110006.
The website of M/S Vijay Kumar Hassanand is – www.vedicbooks.com se vishudh manusmriti mangva kar padein.