Raj Kumar Pareek: स्वामी जी, प्रणाम, कृपया हमें रावण की विद्वता व आसुरी भाव के बारे में बताएँ
Swami Ram Swarup: My blessings to you.
Shastron mein vidwan ke liye kaha hai” Vidwansa Ev Deva” arthat jo ved vidya sunkar usey acharan mein lata hai weh vidwan hai.
Arthat jaise vedon mein kaha ki shubh evam punnyavaan karma hee karo, paap karma nahin karna nahin to Ishwar sazaa deiga. To vidwan weh hai jo vedon ko sunkar vedon mein kahee shiksha ko grahann karke usko jeevan mein utaar leta hai na ki kewal sunta hee sunta hai. vedon mein kahaa yajyen karo, vedon mein kahee Ashtang yog kee sadhna karo, mata-pita aur ved ke gyata guru kee sewa karo, meetha bolo, maans madira aadi ka bhakshann kabhi na karo, indriyon par sanyam rakho, purush paristree aur istree parpurush ka dhyaan kabhi na karey itiyadi asankhya shikshayein hain jo Sri Ram, Sri Krishna Maharaj, Mata Sita, Raja Harishchndra , Bhagwan Manu, Raja Sagar, Yudhishthir, Bheeshma, jaisey anek Rajrishiyon, unkee prajayein aur rishi muniyon nein vedanukul jeevan mein dharann kee aur vidwan Rishi-muni, tapasvi, yogi kehlaye aur jab tak prithivi rahegee unka yash banaa rahega.
Mahabharat mein yeh kaha hai ki jo kewal ved sunta hai aur ved mein kahee shiksha ko nahin dharann karta, weh neechon ka neech hai. Aur Rigveda mantra 10/164/39 bhee aisa hee kehta hai ki agar ved sunkar koi jeevan mein gunn dharann nahin karta to ved mantra uska bhala nahin karte. To kai kehtey hain ki Ravann vedon ka vidwan tha to ab aap yeh khud hee sochein ki weh tha ki nahin tha.
Govind Ram: Respected Sir, I regret to inform you that my elder son Late PREM KUMAR DHANWANI (Gotra) DHUDGYA is no more now. He was a student of B. Com. Final year in college. He died due to Head Injury because of Bike Accident on 1/11/2009. I heartily request all of you to pray to god for my elder sons peace of soul.
Swami Ram Swarup: My blessings to you.
My self along all members of ved mandir have already felt heart broken sorrow when we read about the death of your loving son, who was student of B.Com final year. We pray to God that may his soul rest in peace.
Again, my blessings to you.