Pushpa: प्रणाम महाराज जी! मैंने वाल्मीकि रामायण में ये पढ़ा के रावण ने १०,००० वर्षों तक घोर तपस्या करके ब्रह्मा जी को अपने दस मस्तक की बलि दे दी थी। उसकी आयु इतनी कैसे हो गई थी?
Swami Ram Swarup: My blessings to you, my daughter. Valmiki Ramayan mein aisa koi varnnan nahi hai. Han! Hamaree Vedic sanskriti par Rishiyon dwara likhee pustakon mein jhoote shloka bhi add kar diye gaye hain. Shayad aapne weh shloka padey honge. Aap M/S Govindram Hasanand, arya sahitya bhavan, Nai sadak, Delhi. Inse shudh authentic Valmiki Ramayan mangaayey aur Adhyayan karein. Aapko bahut punnya prapt honge. Waise bhi Yajurved mantra 3/62 ke anusaar Vedic marg par chalkar sadhak adhik se adhik ek jeevan mein 400 varsh kee aayu prapt kar sakta hai. Issey adhik nahi.
Deepak: Namaste charan sparsh mehraj ji. Bahut dino bad pahle.ki tarah likh raha hoo, shayad aap mujhe bhool gaye honge, shayad 13 ya 14 salo se apke sath judne.ke bavjood ab jakar yeh samjh aya ki apka rasta hi jo ki vaidik hai sahi hai, ,,apke pas 2011 me aya bhi tha, apne ek mantra bhi diya tha, apke marg ke sath sath baki bhi sab marg chalu thay jis se mera kafi.nuksan hua,, ab aap mujhe shama kar de ..Kyonki apke ashirwad ke bina mai ya apka koi shishy vaidik raste par nahi chal sakta Dhanyawad Your loving son Deepak
Swami Ram Swarup: My blessings to you. Vedic marg par chalne kee aagya swayam Ishwar ne vedon mein dee hai. Pichchley yugon mein kewal ved vidya hee thee. Aaj ke granth nahi the. Us samay kee janta ne vedon ko hee apnaya aur sadaa sukhi rahee. Aap bhi ved marg par chalne kee koshish karein. Mera aapko ashirwad.