Jatin: Pranam swamiji, vedon ke anusar yug ko chaar yugon mein vibhajit kiya hai.aisa kyon hai? Kya in chaar yugon ki kuch visheshtayen hain. Aur acharya ji sri ram chandra ji ka janm isi 28th chaturyugi treta yug mein hua tha?
Swami Ram Swarup: My blessings to you. Yugon ko vibhajit kewal samay kee gannana (counting of years etc.) ke purpose se kiya gaya hai parantu satya to yeh hai ki yeh vishay anadi, avinashi evam swabhavik hai. Arthat nishchit samay par sansar kee rachna, paalna aur pralay swabhavik hee hotee rahtee hai. Yadi Ihswar maheene, saptah, din athwa samay kee bhi rachna na karta tub bhi manushya ka Jeevan sada ast-vyast hee rehta. Jee han! Sri Ramchandra ji ka janam Treta yug mein hee hua tha.
Harsh: Swamiji, kya hanumanji,chiranjeevi hai ,joaanewaaley satyug tak jeevit rahenge?
Swami Ram Swarup: Nahin. Hanumanji aaney wale satyug tak nahin hain. Vastutaha, jo jeev manushya ka shareer dharann karta hai, weh Brahmacharya, dharamacharann aur satya Vedic marg par chalkar adhik se adhik chaarso varsh (400 years)tak jeevit reh sakta hai, issey ek bhi din zyada nahin. Aisa Yajurved mantra 3/62 ka pramann hai.