Anupam: Swamiji pranam.devta ka arth apne bataya vedo ka gyan rahkhne vala vidwan.to bhagwan or ishwar me kya anter hai.kisi ne bataya ki bhagwan ka arth eshwarya pradan karne vala hai.ved kitne purane hai is visay me anuman kis adhar per lagaya jata hai.inhe likha kisne hai. Ganesh ji shivji mataji vishnuji brahmaji adi devtao ki puja ke vidhan ki shuruaat kab se hui hogi.devthan ke bad vivah karna kyo subh mante hai.rigved ka gyan kya aapke kisi article ko padhkar prapt ho sakta hai.yadi sambhav ho to uski kuch mukhya bate mujhe isi prashna ke utter me bataye.
Swami Ram Swarup: My blessings to you, my daughter. Rigved mantra 1/164/40 ke anusaar Bhagwaan shabda kaa arth aishwarya, sukh, ved ka gyan aadi sab kuchh jisne parpt kar liya hai, jiske acharann mein ved vidya hai, jiskee indriyaan sanyam mein hain, usey Bhagwan kahte hain. Isliye Rishi muniyon ko bhi Bhagwan kaha gaya hai. Athwa aaj ki bhasha mein srishti rachna karnewala, nirakar sab anant aishwarayon ke maalik Paramatma ko bhi Bhagwan kehte hain.
Answer as above.
In sab devi-devtaon kee Pooja kee shuruaat doo hazaar varsh ke andar hue hai.
Beti, Dev shabda to hai parantu “than” iska mujhe gyan nahi aap devthan ka arth likh kar bhejein.
Aap apna postal address bhejein to hum vedon par adharit Hindi aur English kee 1-2 kitabein bhejenge, jisse aapko vedon ka gyan hoga.
Anupam: Kya vedo me jyotish vigyan hasta rekha vigyan aadi ka jikra hai.apne karm ke saath saath kya in per bhi vishvas karna chahiye.kya vastu vigyan me vishwash karna uchit hai.jeevan ko sahej jeene ke liye kya karna chahiye.
Swami Ram Swarup: Aaj ka jyotish vigyan, hastha rekha vigyaan vedon mein nahi hai. Vedon ke atirikta, vedon ke khilaaf kisi baat par bhi vishwaas karna avidya hai. Vastu vigyan bhi vedon mein nahi hai Jeevan ko sahaj jeene ke liye ved marg par chalna chahiye jaise ki upar ke prashann ke uttar mein kaha hai.