Shivanshu: प्रणाम गुरु जी चरण स्पर्श।एक प्रशन काफी दिनों से परेशान कर रहा था। प्रश्नः कर्म र उसके फल को लेकर है। जैसे हर इंसान को अपने कर्म का फल भोगना पड़ता है।। अगर कोई भूखा है या तकलीफ म है तो वो अपने कर्म का फल भोग रहा है। अगर कोई दूसरा इंसान उसकी मदद करता है तो उसकी तकलीफ दूर हो जाती है मतलब जो वो भोग रहा था वो तकलीफ ,उससे बच जाता है। तो वो कर्म का फल जो वो भोग रहा था वो कहा जाता है? जिसने मदद किया क्या वो उसके कर्म म भागी हो जाता है र उससे बाद म तकलीफ भोगनी होगी या फिर बाद म जो इंसान तकलीफ म था उससे ही भोगना होगा? धन्यवाद्।
Swami Ram Swarup: Mera aapko hardik ashirwad, beta. Sukhi raho. Han! Pratyek insaan ko apne pichchley janamon ke kiye karmon ka phal is vartamaan ke janam mein bhogna avashya padta hai aur is janam ke kiye hue karmon ka phal bhavishya mein aane wale janamon mein bhogna padta hai. Yeh gyan Rigved mantra 10/135/1,2 mein kaha hai. Yadi kisi bhookhey ko bhojan diya to yeh updesh bhi vedon mein hee hai aur aisa karne se bhojan deney wale ko punnya hee milta hai. Isliye yadi bhojan deney par kisi ka dukh door ho jaata hai to weh kewal usee samay ke liye door hota hai aur Ishwar ke vidhaan ke anusaar dukh door hota hai kyunki bhookhey ko roti dena Ishwar ne vedon mein kaha hai. Ab us bhookhe insaan ko dubara bhi bhookh lagegee ya pareshani aa sakti hai to us waqt uskee kaun madad karta hai, kaun madad nahi karta hai, yeh sub Ishwar ke banaye Vedic niyamon mein karma-bhog kee philosophy mein aata hai aur aajkal to bhookh ka bahana banaakar bahut se jhoote bane bhikari paise ikatha karte hain jo ki unka paap hai.
Jo sach-much mein bhookha insaan hai, uskee jo madad karta hai, usey to punya hee milta hai kyunki bhookhe kee madad karna, jaise maine upar kaha, yeh Ishwar kee agya hai, isliye madad karne wale ko Ishwar kee agya maanane par punnya prapt hota hai parantu jhoote bhikariyon se bachna chahiye.
Neha: Pranam guruji. aapeki tabiyat ksi hai? guruji meri bhabhi pregnant hai.. guruji bhabhi ko 2 betiya hai.. ab hum beta chete hai aap se requst hai guruji hume aashirwad do ke ab hmere ghr baby boy ho..
Swami Ram Swarup: Beti, rozana havan avashya kiya karo, is sey kaamnayein poornna hotee hain aur mera bhi ashirwad.