Basant: Namaste swami ji, please clear my confusions. Mana ki kisi ki samadhi lag gai. Iske bad Yadi vo yah kahe ki “i had attained samadhi” to kya aisa kahne se uski samadhi toot jati hai? Aur uski yog siddhi nasht ho jati hai ? Kya yog aisi sthiti hai jiska varnan karne se vah nasht ho jata hai. Kindly enlighten me swami ji.
Swami Ram Swarup: Namasteji. Kehne na kehne se kuch bhi farak nahin padta. Jaise koi videsh mein ghoom aya ho aur sukh prapt kiya ho to uske videsh jaane ke bare mein kehne na kehne se videsh kee yadein, sukh adi mein koi farak nahin padta. Han! Ek baat avashya hai ki kisi kee Samadhi lagee hee na ho aur weh jhoot mooth mein apnee shaan badaane ke liye kah raha ho ki uskee Samadhi lagee hai ya apne agent se jhoota prachar kara raha ho to yeh maha paap hai aur uski kathor sazaa bhagwan samay aaney par deita hai.
Rishi: Namaste Guruji, Main ye jan na chahta hun ki koi bhi kaam kaam karne ke liye din ka pata karna jaruri hai kya?? log kehte hain ki panditji se hi puch kar ki kaun sa din shubh hai , koi bhi naya kaam karna chaiye. Krpya marg darshan karen …
Swami Ram Swarup: Namasteji. Koi bhi shubh karya karne ke liye Ishwar ka naam leikar kisi bhi din aur kisi bhi time shuru kar deina chahiye. Kyunki sabhi din, time etc., Ishwar ke hee banaye hue hain. Ishwar shudh, shubh aur sabka data hai. usne yeh din , samaj ityadi hamare shubh karma karne ke liye hee banaye hain aur isliye vedon mein pandit aadi se pooch kar mahurat ityadi dekhne ka koi vidhan nahin banaya.. I also paste my article on shubh din as under-
Shubh Din
All the days, week, month, years, minutes, seconds have been created by God and thus are always pious. Regarding the philosophy of deeds, Vedas tell that we have come here to face the previous lives’ deeds (good or bad) according to Rigveda mantra 10/135/1,2 and we have to face the said deeds in the shape of pleasure and pain respectively. So, the days are not concerned with auspiciousness or bad omens. If we do pious deeds today then one day we will enjoy pleasure and if we do bad deeds then in the future on any day we will have to face sorrows awarded by God. So, the day becomes full of pleasure or full of sorrows when we face our deeds as said above. So days are never good or bad but always pious and gifted. So days are never good or bad, but always pious and gifted to us by God to always do pious deeds to enjoy life.
Also the days, nights and times are never ashubh (unfortunate) being created by the purest God. only deeds done by us are bad or good. And based on the previous lives’ deeds we have to face the result thereof accordingly on one particular day and time. So days are not good or bad. It is our own deeds done by us which are bad or good.
So one can enter at one’s own convenience or suitability in his newly constructed house, shop etc., or start any pious work at any time. However, one should perform havan with Ved mantras before ensuing any of those works. It does not depends on any name and date of birth etc. because it is not mentioned in Vedas. We must be always away from blind faith.
Rishi: Namaste Guruji, Videsho main to koi Ved nahi padta phir bhi wo log itna develope kaise ho rae hain.. wo to bhagwan ko bhi nahi mante..jabki bharat main itna ved ka prachar hai phir bhi bharat main bhukmari, berojgaari hai… aisa kyun hai?? plz batayen..
Swami Ram Swarup: Namasteji. Development ka naam shanti prapti nahin hai. Videshon mein bhi jo dharma par chalkar dhan ka sukh leta hai ussey hee shanti prapt hotee hai. Anya ko nahin. Kya Ravanna, Kansa, Duryodhan sukhee they? Bharat mein ved ka prachar na ke barabar hai. Aajkal adhiktar dharma paisey kamaney ka source ban gaya hai. Is vishaye mein Rigveda Mantra 1/164/39 kehta hai ki yadi ved sunkar ved kee shiksha ko jeevan mein nahin utara to aisey manushya ka ved bhi bhala nahin kartey aur Mahabharat mein aisa kahaa hai ki jo kewal ved sunta hai lekin ved kee shiksha par aacharann nahin karta, weh purush neechon ka bhi neech hota hai. isliye kewal ved ka praachar aur ved ka sunna-padna laabhkari nahin hai. vedon ko sunkar ved mein kahee shiksha ko aacharann mein lana labhkari hai. Ek yajyen ka vedon mein jo updesh hai, yadi weh yajyen hee koi pooree shradha se, vedon ke vidwan ke ashraye mein rehkar karey to Yajyen hee hamay samay par varsha, dhan, anna, ghee, doodh aadi sabhi padarthon se bharpoor kar deta hai aur is prakar gareebi aur ameeree to yajyen karne se hee samapt ho jaatee hain.